Business

Hindustani Currency Notes China mein nahi chaapay jatay:Hukumat ki wazahat

By Abdul Aziz

August 14, 2018

Markazi Hukumat ney aaj un daavon ki tardeed kar di ke China ki ek company ko Hindustani Currency noton ki taba-at ka theka diya gaya hai. Secretary Mahkuma Iqtisadi Umoor Subhash Chandra Garg ney is khusoos mein paidashuda tanazia ke fauri baad kaha ke kisi Cheeni Currency Printing Corporation ko Hindustani Currency Notes ki taba-at ka theka dainey se mutaliq ittila-aat yaksar be buniyad hain. Hindustani Currency Notes Hindustani Hukumat  ki taraf se sirf RBI ke chhapa khaanoon mai chaapay jarahay hain aur aayinda bhi wahein chaapay jayen ge. ‫Yaad rahe ke Cheeni akhbar ‘The South China Morning Post’ ney yeh ittila di ke Cheeni mamlekati milkyat ki haamil company ”China Bank Notes Printing  and Minting Corporation” ko baday paimana par mukhtalif mumalik bashamool Hindustaan Currency Notes ki taba-at ka theka mila hai. Is report mai bataya gaya ke 2013 mein Beijing ney iqtisadi farogh ko ubhaarne ‘Belt and Road’ mansoobah shuru kya jis mai Asia, Europe aur Africa ke 60 mumalik shaamil hain Sadar China.  Bank Notes Printing & Minting Corporation Liu Guisheng ke is bayan ka hawala diya gaya hai ke un ki Company tab se kayi mumalik bashamool Thailand, Bangladesh, Srilanka, Malaysia, Hindustaan, Brazil aur Poland mein Currency Products Projects  ke liye contracts  haasil karne mein kamyaab rahi hai. Aam Aadmi Party ney qabal azeen Markazi Hukumat  se mutaliba kya tha ke woh is terha ka daawa par mabni Cheeni akhbar ki ittila par wazahat paish kere. Party ke qaumi tarjuman Mr. C Raghu Chadha ney iss inkishaaf ko ‘Hindustaan ki qaumi salamti’ aur ‘Iqtisadi salamti’ ke liye bada khatrah’ qarar diya tha aur Wazeer e Azam se istafsaar kya ke public domain par yeh it-tila-aat kyun dastyab nahi hain? Mr. Chadha ney istafsaar kya ‘kya wajohaat hain ke kisi ko androon Mulk yeh kaam sonpne ki bajaye ek bairooni firm se rujoo kya gaya? kya Hindustaan is khsoos mai China se rujoo huwa ya phir apni aalmi asarpadiziri  ko badhaane ke tour par un ke dabaaoo ke agay hum jhuk gay hain? ‘ MR. Chadha ney report ka hawala dete hue kaha ke ek khufia zaraye  neyeh bayan kya ke chand hukumaton ney Beijing se kaha ke maamlat ko aam na kere chunkay unhen khauf hai ke is terha ki it-tila-aat se qaumi salamti ko jokham hogaa aur androon Mulk ghair zaroori mubahis shuru ho jayenge.