IND VS AUS

Slider

Hindustan teesray ODI mein kamyaab, series Australia ke naam

By News Desk Roman Urdu

December 02, 2020

Canberra : Glenn Maxwell ke khatray ko qaboo mein karte hue Hindustan ne sansani khaiz muqablay mein Australia ko 13 runs se shikast day kar 3 muqablon ki ODI series mein clean sweep se khud ko mehfooz rakha jabkay Australia ne ibtidayi do muqablon mein aasaan kamyabi ke sath series 2-1 se apne naam karli. australiyai teesray muqablay mein kamyabi ke liye 303 runs ka taqub kar rahi thi aur usay david warner ki kami mehsoos hui jaisa ke unke maqam par captain aaron finch ke sath ining ka aaghaz karne aaye labuschagne ( 7 ) pehla ODI khailnay walay Natarajan ka shikaar banay.

Finch ne 75 runs banaye lekin aakhri lamhaat mein Hindustan ke liye asal khatrah Maxwell banay jinhon ne 38 gaindon mein 3 chowkun aur 4 chakkon se taiz raftaar 59 runs banakar muqablay ko apni team ke haq mein kardiya tha lekin Bumrah ne unhon bold karte hue Hindustan ko muqablay mein wapas laya. Bumrah aur natarajan ne fi kas 2 aur shradull ne teen khiladion ko out kiya.

Qabal azeen Man of the match Hardik pandya ( na qabil taskheer 92 ) aur ravinder jadeja ( not out 66 ) ki nisf centuries aur unke mabain chatti wicket ke liye mehez 108 gaindon par record 150 run ki zabardast shiraakat daari ki badolat Hindustan ne Australia ke khilaaf teesray aur aakhri ODI mein 50 over mein paanch wicket par 302 runs ka challenge bada score khada liya.

Toss jeet kar pehlay batting karte hue Hindustan ne captain kohli ( 63 ) ki nisf century ke bawajood apne 5 wicket 152 run padhi khodiye thay aur iski haalat kaafi kharab nazar aa rahi thi lekin pandya aur jadeja ne is ke baad morcha sanbhala aur zabardast ining khelain jin ki badolat Hindustan 300 run uboor kar saka.

Pandya ne apna sab se bada score banatay hue 76 gaindon mein 92 runs mein saat chokay aur ek chakka lagaya jabkay jadeja ne 50 gaindon par 66 runs mein paanch chokay aur teen chhakay lagaye. dono ne chati wicket ke liye 108 gaindon par 150 run ki shiraakat daari ki. Dono ne aakhri paanch over mein 76 run banaye jo muqablay mein asal farq saabit hue. kohli ODI ke sab se taiz 12 hazaar runs bananay walay bhi ban gaye aur unhon ne Legend sachin tendulkar record toad diya.