India

Hindustan ne GSAT-30 ko kamyabi se madaar mein choda

By News Desk Roman Urdu

January 17, 2020

New Delhi: Hindustan ne khalayi maidan mein ek aur ahem kamyabi haasil karli hai jaissa ke is ka mawaslati Satellite GSAT30 Europi khalayi bandargaah French Guiana se kamyabi ke sath madaar mein chuda gaya. Jo naye saal mein hindustani khalayi jaanch agency ka chhodey janay wala pehla Satellite hai. ASatellite ka wazan 3450 Kilo hai aur ye INSAT 4A satellite ka badal hoga.

ISRO ke U.R Rao Satellite center ke Director P. Kunhikrishnan  jo Satellite ko chhodey janay ke waqt mojood they ne is ko kamyabi ke sath chhodey janay par Ariane khalayi team aur ISRO ku mubarakbaad pesh ki hai. Unhoun ne is ko sal 2020 ke liye behtareen shuruvaat qarar daitay hue kaha ke is mission ki team ne Master Control markaz ne is ko chhodey janay ke baad ke amal ko fori tour par mukammal kiya hai.

Bangloru ke ISRO ke Headquarters ne kaha ke GSAT30 ko makhsoos andaaz mein design kiya gaya tha taakay khalaa mein Transponders ki tadaad mein izafah kiya jaske. ISRO ne bhi is Satellite ko chhodey janay ki towseeq ki aur science danoun ki team ko mubarakbaad pesh ki.

Is Satellite ko chhodey janay ke fori baad Karnataka ke Hasan mein waqay ISRO ke master control room ne GSAT30 ka control haasil karliya. Ye Satellite mamool ke mutabiq kaam kar raha hai. Khalayi Agency jaria saal GSAT20 ko bhi chodne ki tayari kar raha hai. Deegar 3 Satellites jo Ku band  Ku and C bands  ki frequency ki tarz ke hain, Ku pehlay hi choda ja chuka hai. un Satellites mein GSAT 19 ko 5? January 2017, GSAT. 29 ko 14 November 2018 ko chuda gaya tha jabkay GSAT 11 jo ISRO ka bhari bharkam Satellite tha usay 5 decemeber 2018 ko choda gaya tha. Un charoun ne mil kar Hindustan bilkhushoos dehi ilaqoun mein Internet ka inqilab laya hai. Un ke zareya 100 GBPS high broadband rabita bashmool un flight aur samandari rabita faraham kiya gaya tha.

GSAT jaisi Satellite ka maqsad khusoosi qisam ke transponders ki tayari bhi hai jis ke zareya high frequency ke sath internet ki raftaar aur rabta badhaya jasakta hai. GSAT30 GSAT 20, Un 25 Missions mein shaamil hain jin ko chodne ki mansoobah bandi jaria saal ki gayi thi. GSAT30 ke sath ek aur mawaslati satellites bhi choda gaya. Is mission ka mukammal waqt 38 minute 25 Second tha. Ariane khalayi agency ka ye panchawan mission hai.

Satellite ko chodne ki tayari ka jaiza 14 January ko liya gaya tha taakay ulti ginti ki shuruvaat ki jasakay. Ek saal pehlay ISRO ne GSAT 31 ko choda tha ab is saal GSAT30 ko chda gaya.-YTN STAFF