India

Hindustan mein 30 feesad license jaali : Gadkari

By News Desk Roman Urdu

September 09, 2019

Mumbai : Road transport aur qaumi shahrah ke wazeer Nitin Gadkari  ne kaha hai ke naye motor Vehicle qanoon ke tehat koi bhi shakhs sadakhon par qawaid ki khilaaf warzi karkay logon ki zindagion se nahi khail sakega aur jo qawaid todega usay har haal mein saza di jayegi.

Gadkari  ne yahan press conference mein kaha ke naya motor Vehicle qanoon kisi ko bhi sadak ki hifazat ke zabita mein kotahi baratnay ki ijazat nahi deta hai. wazraa, qaideen adakar, ohdedar ya traffic qawaneen ko todnay walay koi bhi shakhs saza se bach nahi payega.

Markazi wazeer ne kaha ke sadak par hifazat unki tarjeeh hai aur sadak par awam ki jaan nah jaye is ke liye nah sirf sakhti se qawaneen par amal kiya jayega balkay road engineering islaah bhi ki jarahi hai.

Sadak ke tahaffuz ko behtar banana unki hukoomat ki tarjeeh hai. Gadkari  ne kaha ke mulk mein 30 feesad license jaali hain. 1 shakhs ke paas chaar reyaston mein banaye gaye license hain. logon ko gaadi pakarna nahi aata aur driving license haasil kar lete hain. gaadi chalana aata nahi aur sadakon par gaadi leker aajate hain jis se awam ki zindagi khatray mein par jati hai.

Markazi wazeer ne kaha ke ab kisi driver ko awam ki zindagion se khailnay ki ijazat nahi hogi. driving license ke naye nizaam mein poora amal shafaaf hai. isse koi farq nahi padta hai ke koi shakhs kitna bada hai, is ke tehat is ka license shafaaf andaaz mein banaya jayega.

kisi bhi shakhs ka naya driving license tab hi qabil hoga jab woh gaadi chalanay mein poori tarhan hunar mand ho.

Unhon ne kaha ke motor gaadi ke naye qanoon se awam mein khauf wo haraas phail gaya hai. log qanoon se dartay hain aur un ka ehtram jaag gaya hai. qanoon todnay walay saza Yafta honay se pareshan hain lekin is se sadkon par logon ki zindagi bachay gi aur sadak haadsat mein kami aayegi. –YTN STAFF