Oakland: Series mein ta haal na qabil taskheer rehne wali hindustani team kal yahan 5 muqabloun ki Twenty 20 series ke panchwen aur aakhri muqablay mein fatohat ke silsilay ko barqarar rakhtay hue 5-0 ki kamyabi ke liye koshan hogi. New Zealand jis ne 3 ya is se zayed muqabloun ki bahami series mein kabhi bhi tamam muqablay nahi guwaye hain. 2005 ke baad se New Zealand ko sirf ek martaba Feb 2008 mai England ke khilaaf gharelo series mein Twenty 20 ki series 2-0 se ganwane padi.
un Records ki badolat Hindustan ko ek nai tareekh raqam karne ka mauqa dastyab hai aur wo kal maizban team ko 5 muqabloun ki T20 series mein mukammal safaya kar sakti hai. Is shandaar kamyabi ke bawajood Hindustan ko ICC ki darjah bandi mein koi khaas faida haasil nahi hoga aur wo panchwen maqam par hi fayez rahay gi. ICC ki T20 darjah bandi mein Pakistan pehlay maqam par faiz hai jis ke baad Australia , England aur janoobi Africa deegar 3 maqamat par mojood hain.
Hindustani team ke liye rawan baras Australia mein munaqqid Sidney World Cup ki tayari ke liye ye series kaafi ahmiyat ki haamil hogi jahan chouthay muqablay mein Hindustani team ne Rohit Sharma ke bajaye sanju samson ko mauqa diya tha aur Shivam Dube ko bhi qatee 11 khiladioun mein shaamil kiya gaya tha. Samsong ko Inning ke aaghaz ke liye K.L Rahul ke sath bheja gaya tha aur umeed ki jarahi hai ke kal bhi hindustani team unhi qatee 11 khiladioun ko barqarar rakh sakti hai.
Manish Pande ko chhatay Number par Batting ka mauqa diya gaya tha jis ka unhoun ne faida uthatay hue nisf century score ki. Doosri janib se New Zealand ki team jo ke is waqt zehni dabao ka shikaar hai kyunkay usay yakke baad deegray 2 muqabloun mein kamyabi haasil karne ke behtar muaqqaf mein rehne ke bawajood Super Over mein shikast bardasht karni padi thi. New Zealand ki team ahem lamhaat mein dabao ka shikaar hora hee hai aur wo aakhri muqablay mein is masla par qaboo panay ke liye koshan hogi. Bowling shoba mein Hindustan ke liye is ke number ek bowler Jasprit Bumrah ka naaqis faam tashweesh ka baais hai, kyunkay wo zakhamo se shtyabi ke baad apne is miyaar ki bowling karne mein kamyaab nahi ho parahe hain jis ke liye wo mashhoor hain. –YTN STAFF