New Delhi: Hindostan mein guzashta 24 ghantoun ke douran corona ke Record 40 hazaar se ziyada naye misbet muamlay samnay aaye hain jis se mulk ke baaz halqoun mein tashweesh payi jati hai, Lekin is ke sath hi corona ki vaccine ke muamlay par umedoun mein izafah nazar aa raha hai kyunkay Delhi ke maroof dawakhane All India Institute of Medical Sciences ( AIIMS ) mein insanoun par vaccine ka tajurbah shuru ho raha hai.
Wizarat sahet ke mutabiq guzashta 24 ghantoun ke douran 40 hazaar 425 naye mamlaat ke ilawa mulk bhar mein Covid 19 se 681 afraad halaak bhi hue hain. Is terhan ab mulk mein corona se mutasirah afraad ki majmoi tadaad 11 lakh 18 hazaar se ziyada ho gayi hai jabkay misbet mamlaat har 20 dinoun mein dugne ho rahay hain.
Waba se marnay walay afraad ki majmoi tadaad 27 hazaar 497 hogayi hai. Wizarat sahet ne kaha hai ke mulk mein taqreeban 4 lakh mutharrak mamlaat hain jabkay 7 lakh afraad sahet yab ho chuke hain. Maghribi riyasat Maharashtra mein mutasireen ki tadaad 3 lakh se tajawaz kar chuki hai jabkay itwaar ko wahan sab se ziyada mamlaat darj kiye gaye hain.
Darin Isna Indian council of medical research ney kaha hai ke 1 crore 40 lakh se ziyada afraad ke test ho chuke hain jabkay guzashta roz taqreeban dhai lakh logoun ki jaanch huvi hai. Hindostan mein social media par AIIMS trained kar raha hai jis se ye nazar aata hai ke sarfeen mulk mein vaccine ki tayari se mutaliq kitnay pur josh hain.
Is se qabal Hindostan ne 15 August tak corona ki vaccine tayyar karne ki baat kahi thi jisay tibbi mahireen ne baeed az qiyaas qarar diya tha. Yoga guru baba Ram Div aur Ayurvedic tareeqa ilaaj ki dawa bananay wali un ki company ne Covid ki dawa bananay ka daawa kiya tha aur kaha tha ke unhoun ne usay insanoun par bhi test kiya hai lekin phir wo baad mein apne daaway se inkaar kardiya aur kaha ke un ki dawa sirf qowat mudafat badhaane ke liye hai.
Sarkari TV channel DD News ne Twit karte hue likha ke AIIMS paiir se vaccine trail insanon par tajurbah shuru kar raha hai. Darin Isna ke wazeer e sahet Harsh Vardhan ne AIIMS mein Plasma atiyah ke camp ka iftitah kiya hai. Hindostan duniya mein Generic dawa bananay walay ahem tareen mulkoun mein shaamil hai aur yahan ki bohat si dawa saaz companian Polio, Meningitis, Rotavirus aur khasray ki vaccine bhi banati hain.
Hindostan Times ney ek report shaya ki hai jis mein kaha hai ke Hindostan ki kam se kam 7 dawa saaz companian Covid-19 ki vaccine bananay ki koshish mein din raat lagi huvi hain. Un mein se ek Hyderabad ki dawa saaz company Bharat Biotec hai jo ke vaccine Covaxin nami teekay par kaam kar rahi hai aur is ney guzashta haftay se insanoun par is ki jaanch shuru kar di hai lekin ahem idaray AIIMS mein paiir se is ka Clinical trial shuru hora hai.
Isi terhan Serum Institute of India vaccine ki tayari ke teesray marhalay mein hai aur wahan AstraZeneca nami vaccine par kaam jari hai. Kaha ja raha hai ke ye saal ke aakhir tak dastyab hogi. Maroof dawa saaz company zydus cadila bhi Covid-19 ki vaccine ki tayari ke liye kaam kar rahi hai aur is ney apni vaccine ka naam ZYCoV-D rakha hai. Company ke bamujab aindah 7 mah mein ye vaccine dastyab hogi. Is ney insanoun par is ka tajurbah bhi shuru kar diya hai.
Un ke ilawa Indian Immunologicals vaccine, Biological aur Mynvax jaisi vaccine bhi tayari ke mukhtalif marahil mein hain. Is ke ilawa Panacea Biotec Americi company ke taawun se Ireland mein vaccine ki tayari mein masroof hai aur kaha hai aindah saal tak wo badi tadaad mein is vaccine ko tayyar karne ki ahal hogi.