Slider

Hind Pak World Cup ke sab se baday muqablay par nazrain

By News Desk Roman Urdu

June 15, 2019

Old Trafford: ICC World Cup 2019 mein jis muqablay ka Duniyae Cricket ko be cheeni se intzaar hai woh kal Hindustan aur Pakistan ke darmain ko Old Trafford mein ho ga aur yeh kehna ghalat nahi ke yeh Duniyae Cricket ka sab se badaa muqaabla hai. Dono Temen is muqablay mein kamyabi ke liye tayyaar hain halaan ke World Cup ki tareekh mein Hindustan ney hamesha hi Pakistan ko shikast di hai. Hindustan aur Pakistan dono hi teamon ke paas aisay khiladi mojood hain jo match ka pansa palatney ki salahiyat rakhtay hain. Hindustani team ki qayadat duniya ke numbrayak batsman Virat Kholi kar rahay hain to bowling shoba mein qaumi team ko duniya ke number aik bowler Jasprit Bumrah aur Bhuvneshwar Kumar jaisay bowler hain to Pakistan ke paas unform Mohammad Amir aur Wahab Riaz mojood hain.

Mohammad Amir ney jis terha Australia ke khilaaf paanch wickten haasil ki hain is Pakistan ke khaima ke hauslay buland hain. Virat Kholi jo aik behtareen batsman hain teen martaba Mohammad Amir ke samnay aeye aur tenu martaba un ka hi shikaar huwe, yahi wajah hai ke woh Amir ko aalmi miyaar ka bowler bi woh qarar day chuke hain. Batting mein Hindustan ke paas behtareen Opener Rihat Sharma, Lokesh Rahul aur Mahendra Singh Dhoni ke ilawa Hardik Pandya jay se batsman mojood hain to doosri janib Pakistan ke paas bhi Babar Azam, Shoiab Malik aur Mohammad Hafeez hain un ke ilawa cric ki pehli century hindustan ke khilaaf aksar karne walay Fakhar Zaman bhi team ka hissa hain. Shoiab Malik ney is World Cup mein ab tak koi khatir khuwa karkardagi to nahi dikhayi lekin Hindustan ke khilaaf un ka record bohat acha hai.

Hindostan ke liye Shikhar Dhawan ke zakhmi hokar muqablay se bahar honay ke baad Rahul ko Opener bananay ke ilawa number 4 par Vijay Shankar ya dinesh kartik ke intikhab ke ilawa Spinners ki jori Kuldeep Yadav aur Yuzvendra Chahal ke sath Ravindra Jadeja ke intikhab ka masla bhi darpaish hai. Doosri janib is match mein Australia ke khilaaf aaraam karne walay Shadaab Khan ko khilaye janay ka imkaan hai. Sath hi umeed hai ke team chaar fast bowlaron ke sath hi Pakistani team maidan mein utre gi. World Cup matches Hindustan ko Pakistan par hamesha bartari haal rahi hai. Ab tak dono temen World Cup mein 6 martaba mad-muqabil ayen aur tamam matches mein Hindustani team kamiyaab rahi.

Hindostan aur Pakistan ka World Cup mein sab se pehla muqaabla 4 March 1992 ko Sydney Cricket Ground mein huwa jis mein Pakistan ko Hindostan ney 41 runs se shikast di. Doosri martaba 1996 ke World Cup mein banglore ke ground mein Hindustan ney Pakistan ko 39 runs se shikast di. 1999 ke World Cup mein teesri martaba 47 runs se Hindustan kamiyaab raha. Chothi martaba Hindustan chay wicketon se match jeet gaya. Panchwin martaba Hindustan Pakistan ko 2011 ke World Cup mein 29 runs se shikast di. Chhutti martaba 2015 ke World Cup mein Hindustan ney ba aasani 76 runs se Pakistan ko zair kya.

Doosri janib World Cup se hatt kar oneday matches ka record dekha jaye to Pakistan ko Hindustan par wazay bartari haasil hai ab tak dono teamon ney 131 matches khailay hain 74 martaba Pakistan ney Hindustan ko zair ke a hai, 56 martaba Hindustan ney kamyabi haasil ki hai jabkay aik match baghair kisi nateeja ke khatam huwa. Old Trafford mein is se pehlay dono temen is maidan mein aik hi martaba aamnay samnay ayen 1999 ke Cricket World Cup mein Hindustan ney Pakistan ko 47 runs se shikast di thi. Kal khele janay walay muqablay mein phir aik martaba Kohli ba muqabla Amir awaami tavajju ka markaz hon ge.