Old Triford: World Cup ka sab se badaa Match Hind Pak muqaabla bhi agar barish ki Nazar ho gaya to is se Mukhtalif ghair Mulki nashriyati idaron aur Sponsors ko baadi maali nuqsaan bardasht karne pade ga. World Cup ke Chaar Matches barish ki Nazar honay ke baad Hind. Pak Match ke bhi barish se mutasir honay ke khadshaat zahir kiye jarahay hain, jabkay shaiqeen Cricket ke sath Match se munsalik deegar log bhi Match ke mukammal hojane ke liye par umeed hain. Is se qabal barish ki Nazar honay walay Matches mein New Zealand ba muqabla Hindostan, Sri Lanka ba muqabla Bangladesh, Sri lanka ba muqabla Pakistan aur West Indies ba muqabla South Africa shaamil hain.
Tijarti nuqta nazar se dekha jaye tu Pakistan aur Hindostan ke darmain honay walay match ki mansookhi ke baad badaay badaay ghair mulki sponsors ke payse doobnay ke khadshaat peda ho saktay hain. Riwayati hareef Pak Hindustan muqaabla duniya bhar mein event ka sab se ziyada dekha janay wala match tasawur kiya ja raha hai jis mein 40 badi ishtihari Companiyon ka bhaari paisa laga huwa hai, un companiyon ke liye ziyada se ziyada faida haasil karne ka yeh nadeer moukha hai.
World Cup Matches nashar karne walay sarkari nashriyati idaray Star Sports ki hi baat karen to dosray Matches ke muqablay mein manchester ka Old Triford mein honay wala Hind. Pak ahem tareen muqaabla channel ko be panah maali fawaid se humkenar kere ga. Wazeh rahay ke Bartanwi mehakma mosmiyat ney 16 June ko Manchester mein barish ki paish qiyaasi ki hai, agar is match par barish ka pani phir gaya to saaray maali fawaid par bhi pani phir jaye ga.