Slider

High Court ney JAC rehnumaoun ko riyasati hukoomat se dobarah baat karne ki hidaayat di

By News Desk Roman Urdu

October 28, 2019

Hyderabad : High Court ney peer ke roz. TSRTC mulazmeen ke JAC rehnumao ko hidaayat di ke woh reyasti hukoomat ke sath RTC ko hukoomat mein zam karne ke mutalba ko chodh kar deegar 21 mutalibaat par ek baar phir baat cheet karen. adalat ney is case ki samaat ko 29 october ki dopehar 2. 30 bajey tak ke liye multawi kar diya.

Reyasti hukoomat aur TSRTC, JAC ke darmiyan 26 october ko nakaam rahi pehlay daur ki baat cheet ke baad high court ney apna faisla sunaya. RTC ke additional advocate general ney kaha ke JAC rehnumao ney Inzimam sameit unke tamam mutalibaat par baat cheet karne par majboor kiya. reyasti hukoomat aur JAC ke rehnumao ke sath TSRTC ney 21 mutalibaat par baat karne se inkaar kardiya.

Adalat ney JAC union se poocha ke Inzimam ka mutalba chodhe kar unhon ney 21 mutalibaat par kyun baat cheet nahi ki. adalat ney trade union se Inzimam ke mutalbe ko nazar andaaz karne aur baqiya 21 mutalibaat par baat karne ko kaha, jis mein TSRTC par bojh nahi padega, warna RTC mulazmeen aur logoun, dono ko pareshani ka saamna karna padega. adalat ney JAC rehnumao se yeh bhi pooch tach ki ke RTC ka Inzimam reyasti hukoomat ke liye ratoun raat kaisay mumkin hoga. is ney dono fareeqoun ko yeh bhi bataya ke raton raat koyi masla hal nahi ho sakta hai.

Doosri taraf. TSRTC JAC ke wakeel prakash ney kaha ke RTC hukkaam ney muzakraat mein High Court ki hidayatoun ki ghalat tashreeh ki hai. RTC hukkaam ney wazeh kiya ke woh sirf 21 mutalibaat par tabadlah khayaal karenge na ke deegar mutalibaat par. –YTN STAFF