Hyderabad

High court ne mulzamien ki laashoun ka dobarah post Mortem karne ka hukum diya

By News Desk Roman Urdu

December 21, 2019

Hyderabad: Telangana High court ne hafta ke roz reyasti hukoomat ko hidaayat ki ke wo Disha qatal case ke charoun mulzmien ki laashoun ka dobarah post Morten karwaye. Is ne hukoomat se post Morten ke saaray amal ki video bananay ko bhi kaha hai. Adalat ne kaha ke dobarah post Morten peer ki shaam tak mukammal karna hoga.

Adalat ne reyasti hukoomat ko hidaayat di hai ke wo laashoun ka dobarah post Morten honay ke baad mulzimoun ki laashoun ko unke lawahiqeen ke hawalay kardey. Adalat ne reyasti hukoomat se post Morten report ke mutaliqa shawahid se mutaliq mohar band cover mein report adalat mein pesh karne ko kaha.

Chief Justice  R.S. Chauhan aur Justice A. Abhishek Reddy ke ek division bench ne ye ehkamaat shadnagar mandal mein Chatanpally  mein Encounter ko anjaam dainay wali police ke khilaaf karwai ke mutadid afraad ki janib se dair ki gayeen darkhwastoun  se nimatnay ke liye manzoor kiya.

Gandhi hospital ke  Superintendent, Dr  P. Shravan Kumar apne pehlay hukum ki tameel mein high court ke ro baroo pesh hue aur unhoun ne laashoun ki mojooda haalat se adalat ko waaqif karvaya. Police  Superintendent ne high court ko bataya ke 9 decemeber ko mulzimaan ki laashoun ko Gandhi hospital mein laya gaya tha. Unhoun ne kaha ke ab tak lashain 50 feesad sadgayi hain aur ek hafta mein mukammal gul jayengi.

Division bench ne ye bhi hukum diya ke mobayyana Encounter halakatoun mein police ke zareya istemaal honay wali golioun aur asleha ko bhi khusoosi tehqiqati team ke sath mehfooz kiya jaye. SIT ko bhi police ke zareya istemaal honay wali gadiyoun ka tahaffuz karna chahiye aur deegar tamam tafseelaat ka record ahthyat ke sath rakhna chahiye. –YTN STAFF