Chandighard: BJP nay intikhabaat mein khiladion ka sahara liya tha lekin is ke pehelvaan amidaron ko shikast bardasht karni pari aur dono pehelvaan charon khanaay chit hogaye jaissa ke Yogeshwar aur Babita ko shikast faash hui .
Yogeshwar dutt ko baroda assembly seat par congress umeed waar krishan hooda nay shikast di jabkay dadri assembly set par Babita Phogat ko azad umeed waar soum bair nay buri terhan se haraya. Babita ko is seat par teesra maqam haasil hwa .
Haryana mein BJP nay pehalwanon par jo qismat aazmai thi woh poori terhan nakaam saabit hoyi hai kyunkay dono pehelvaan yani Yogeshwar dutt aur Babita Phogat ko un ke hareefon nay zabardast pitakhnee di hai. un ki shikast BJP ke liye to jhatka hai hi, khud un dono pehalwanon ke liye bhi heran karne wala nateeja hai kyunkay woh apni apni kamyabi ke liye mutmaen they.
pehlay baat karte hain Yogeshwar dutt ki jo ke baroda assembly seat se kharray hue they. un ke muqablay mein congress ke krishan hooda they. election se qabal BJP lidran hi nahi, kayi siyasi mahireen bhi yahi keh rahay they ke Yogeshwar dutt aik bohat bara chehra hai aur BJP ke liye is seat par kamyabi mushkil nahi hogi lekin krishan hooda ny Yogeshwar dutt ko taqreeban 4 hazaar voton se shikast day kar saabit kar diya hai ke awam ke samnay sirf chehra kaam nahi anay wala balkay party ki policy aur awam ke tain is ki jawab dahi bhi bohat maienay rakhti hai .
jahan taq Yogeshwar dutt ko haasil voton ka maamla hai, unhein jumla 30307 vote miley jo kay Baroda assembly halqa mein daaley gaye voton ki jumla tadaad ka taqreeban 31 feesad hai. krishan hooda ko 33947 vote haasil hue aur un ka vote feesad taqreeban 34. 5% raha. teesray maqam par jin nayak jnta party ke bhoopender malik rahay jinhen taqreeban 25. 5% feesad yani 25160 vote miley .
Babita Phogat ki haalat to Yogeshwar dutt se bhi kharab rahi. dadri assembly halqa se intikhab larnay wali Babita shuru ke kuch marahil mein to Sabqat bananay mein kamyaab huien, lekin aakhir mein woh teesray maqam par chali gayeen. unhein taqreeban 20 hazaar voton ke farq se shikast ka saamna karna para. dadri assembly halqa se azad umeed waar soum bair naay kamyabi haasil ki jinhen taqreeban 34. 6 feesad yani 43849 vote haasil hwe. Babita Phogat ko 20 feesad se bhi kam vote haasil hue. jumla haasil kardah voton ki tadaad 24786 rahi. dosray maqam par rehne walay jin nayak jnta party ke umeed waar satyapal sanghvan naay 29577 vote haasil kiye. unhein miley voton ka feesad taqreeban 23. 4 raha .