Chandigarh : Punjab aur Haryana high court ke ek judge neh dairra sacha souda ke sarbarah Gurmeet Ram Raheem ki god li hui beti, Honeypreet jo 25 august ko Dera Sacha Sauda sarbarah ko adalat ki janib se saza sunaye jane ke baad, Haryana ke Panchkula mein honay walay tashadud ke maamla mein jail mein hain, unki janib se dair ki gayi zamanat ki darkhwast ki samaat se high court ke judge justice Surendra Gupta neh inkaar kar diya.
Is se qabal bhi high court neh Honeypreet ko zamanat dainay se inkaar karte hue kaha tha ke’ darkhwast guzaar ke khilaaf sangeen ilzamaat hain, aise mulzim ko zamanat kaisay di ja sakti hai.
ab yeh case chief justice ke samnay rakha jayega taakay is muamlay ko kisi aur bench ko tafweez kiya ja sakay. Honeypreet ke wakeel neh kaha ke Haryana ke Panchkula mein honay walay tashadud mein Honeypreet ka koi kirdaar nahi tha aur iske baad bhi unka naam FIR mein joda gaya.
Wazeh hoke khud sakhta baba wo Dera Sacha Sauda ke sarbarah ram Raheem ko 25 august 2017 mein do khawateen ki ismat darri ke ilzaam mein 20 saal qaid ki saza sunai gayi thi. sath hi January mein panchkula mein CBI ki khusoosi adalat neh bhi 16 saal qabal ek sahafi ke qatal ke ilzaam mean Ram Raheem aur deegar teen afraad ko Umar qaid ki saza sunai thi.
Batadein ke Ram Raheem ko saza sunaye jane ke baad Panchkula aur sarsa mein tashadud bhadhka tha, jis mein 41 afraad halaak aur 260 se ziyada zakhmi hue they. aur Honeypreet ko un fasadaat ki saazish rachne ka ilzaam aa-ed kiya gaya tha. phir Honeypreet ko giraftar kiya gaya tha. –YTN STAFF