Slider

Harmanpreet Kaur ko Kapil aur Dhoni ke barabar honay ka mauqa

By News Desk Roman Urdu

March 07, 2020

New Delhi: Hindustani khatoon T20 cricket team ki Captain Harmanpreet Kaur ke paas sabiq Captain Kapil dev aur Mahendra Singh Dhoni ki saf mein shaamil honay ka shandaar mauqa hai. Haramanpreet ki Captani mein Hindustani khatoon team Australia mein rawan T20 World Cup ke final mein poanch chuki hai aur tournament ka ketaabi muqaabla Itwar ko Hindustan aur maizban Australia ke darmain khela jaye ga.

Haramanpreet agar Itwar ko Melbourne mein Trophy uthany mein kamyaab hoti hai to wo Cricket World Cup jeetnay wali Hindustan ki teesri Captain ban jayen gi. Kapil ki captani mein hindustani mard team ne saal 1983 mein West Indies ko shikast day kar pehli baar aalmi aizaz jeeta tha. Saal 2007 mein munaqqid pehlay mard T20 World Cup mein Dhoni ki captani mein Hindustan ne Pakistan ko shikast day kar khitaab jeeta tha. Dhoni ki captani mein hi Hindustan ne 2011 mein Sri Lanka ko shikast day kar 28 saal ke taweel waqfay ke baad ODI World Cup jeeta tha.

Hindustani khatoon team 2005 mein janoobi Africa ke Centurion mein one day world cup ke final mein Australia se 98 runs se shikast se dochar huvi thi. Is waqt Hindustan ki Captain Mithali Raj then. Australia ne 50 over mein 4 wicket par 215 run banaye they jabkay hindustani team 117 run par simat gayi thi. Mithali Raj ki hi captani mein hindustani team 2017 mein England mein huve ODI World Cup ke final mein pohanchi thi jahan usay England se shikast ka saamna karna pada tha.

England ne 50 over mein 7 wicket par 228 run banaye jabkay hindustani team sakht jad-o-jehad karne ke bawajood 48.4 over mein 219 run par simat gayi thi. Isi tournament ke Semi Final mein Hindustan ne Harmanpreet Kaur ki Not Out 171 runs ki tofani Inning ke dam par Australia ku 36 runs se shikast di thi. Harmanpreet Kaur ne karishmayi Inning khailtay huve 115 gaindoun par Not Out 171 runs mein 20 chokay aur 7 chhakay lagaye they lekin is martaba qaumi captain ki mojooda tournament mein Bat ke lehaaz se mayoos kun karkardagi rahi hai aur wo 4 Match mein 2,8,1 aur 15 runs bana payi hain lekin Hindustani team ko umeed rahay gi ke is ki captain final mein dhamaka khaiz batting karen aur team ko champion banayen. Hindustan pehli bar khatoon T20 World Cup ke final mein pouncha hai. Mithali ju karnama 2005 aur 2017 mein nahi kar payi then wo karnaama Harmanpreet ke paas kar dikhaane ka mauqa hai. –YTN STAFF