India

Haren Pandya qatal ke qusorwaroun ki nazarsani ki darkhwast mustard

By News Desk Roman Urdu

November 21, 2019

New Delhi: Supreme Court ne Gujrat ke sabiq wazeer-e-dakhila haren Pandya ke qatal ke qusorwaroun ki nazar sani ki arzeyun ko kharij kardiya. Justice Arun Mishra aur Justice Vineen Saran ki bench ne 5 July ke apne faislay ke khilaaf 12 may se 10 qusorwaroun ki nazar sani ki arziyan mustard kar de. adalat ne kaha ke faislay par dobarah se ghhor karne ke mutalbe may koi jaan nahi hai, is faislay may koi kami ya khaami nahi hai.

Gujrat High Court ne saal 2003 ke Haren Pandya qatal muamlay ke sabhi 12 mulzmien ko qatal ke ilzaam se bari kardiya tha. saal 2003 ke qatal muamlay may Supreme Court ne faislay ko palatne hue mulzemin ko umar qaid ki saza sunai thi. Gujrat may Narendra Modi hukoomat ke waqt is waqt ke wazeer-e-dakhla Haren Pandya ko 26 March 2003 ko Ahmdabad ke Law Garden ilaqay may is waqt goli markar qatal kardeya gaya tha jab wo subah ki sair karne niklay they. is qatal ka ilzaam 12 afraad par tha.Supreme Court ne is muamlay ki samaat may kaha tha ke CBI ki tehqiqaat ka rukh wazeh nahi hai. adalat ne ye bhi kaha tha ke tafteesh ke douran kuch haqayiq nazar andaaz kardiya gaya aur bohat kuch chhut gaya. High Court may maamla jaane se pehlay Session Court ne mulzamien ko qatal karne aur mujremana saazish karne ka qusurvaar maana tha.

Wazeh rahay ke Haren Pandya ka qatal is waqt huwa tha jab Gujrat may Narendra Modi ukoomat thi. is waqt insidaad-e-dehshat gardi qanoon ke tehat khusoosi POTA Court ne sabhi mulzamien ko qusurvaar therate hue umar qaid ki saza sunai thi. mulzmien ne is faislay ko High Court may Challenge kiya tha. saal 2011 may 29 August ko Gujrat High Court ne Session Court ke faislay ko palat diya aur sabhi mulzamien ko bari kardiya. High Court ke is faislay ke khilaa CBI ne 2012 may Supreme Court ka rukh kia tha. –YTN STAFF