Corona se bachney Gates par Boards, Secunderabad ke Bhulagpur ki ek Colony waloun ki anokhi muhim
Hyderabad: Jab kabhi dostoun, Rishta daaroun aur shanasa afrad se mulaqaat hoti hai to un ko ghar ko madoo karna ek rivayet hai taham is rivayet ke barkhilaf Telangana ke Bhulagpur ki ek colony ke beshtar khandan ne apne makanaat ki Gates par Boards lagatay hue mehmanoun se khwahish ki hai ke wo un ke gharoun ko nah ayen aur kisi ko bhi un ke ghar mein anay ki ijazat nah den.
Corona waba ke pesh e nazar ye sorat e haal peda huvi hai jab loog ye shuba kar rahay hain ke agar un ke ghar mein koi corona misbet shakhs agaya to wo bhi is se mutasir ho jaien ge. Riyasat Telangana bilkhushoos Hyderabad mein coronavirus taizi se phail raha hai. Beshtar afraad jo is se mutasir hain mein is ki alamaat nahi payi jarahi hain. Un ka gharoun mein hi ilaaj kya jaraha hai taham un mein se baaz afraad khulay aam sadkoun par ghoom rahay hain jo tashweesh ki baat hai. Ek survey mein pata chala hai ke Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) ke 2200 corona misbet afraad jin ko gharo mein hi mehdood hona chahiye tha sadkoun par ghoom rahay hain. Kayi afraad un mein la patah hain aur sarkari ohdedaroun ke sath taawun nahi kar rahay hain. Baaz afraad apne gharo tak hi mehdood hain taakay corona ke panjoo se bachaya jasake.
Is terhan gharoun mein ghair mutawaqqa mehmanoun ki aamad se pareshan hokar Bhulagpur Division ki Padmashali Colony ke afraad ney ye anokhi muhim shuru ki hai taakay khud ko aur khud ke khandano ko is se bajaya jasake. Un afraad ney apne gharoun ki Gates par Boards, banners aur Flexes lagatay hue mehmanoun se khwahish ki hai ke wo un ke gharoun ko nah ayen aur kisi ko apne ghar mein anay nah den. Is terhan is anokhi muhim ke tour par ye afraad kisi aur ko apne ghar mein daakhil honay ki ijazat nahi day rahay hain. Is qanoon ka itlaq dostoun, Rishta daaroun aur ajnabi afraad par hoga.