Hyderabad

Haleem Ki Bhattiyoun Par Hukkaam Ki Nazrein, Ijazat Lena Zaruri

By News Desk Roman Urdu

May 03, 2019

Hyderabad: Ramadan-ul-mubarak ki aamad aamad hai aur har jagah is ke istaqbaal ki tayyariyan horahee hai aur abhi se hi shehar-e-Hyderabad mein ramadan ki pasandeeda dish Haleem ki bhattiyoun  ki tayari ka kaam shuru hochuka hai lekin Secunderabad ke ilaqay mein Haleem ki bhattiyan lagana aasaan nahi kyunkay Secunderabad ke city light hotel ka saneha ek sabaq hai .

Zonal commissionaire Secunderabad zone Raghu Prasad ne Haleem bananay walon ke alawa deputy commissionaire AMOH town planning aur fire department ke ohdedaron ke sath ek ijlaas munaqqid karte hue is baat ka jaiza liya hai ke Secunderabad ilaqa mein Haleem ki bhattiyoun  ko ahteyati tadabeer ki sharait mukammal karne par hi ijazat di jaye gi. Ijlaas kebaad media se izhaar-e-khayaal karte hue Zonal Commissionaire ne kaha ke Hotels aur jis muqam par Bhatti lagai jayegi wahan ahteyati tadabeer ka jaiza lainay ke baad hain ijazat di jaye gi kyunkay Bhatti ki wajah se atraaf ki imaarton ki dewaron ko nuqsaan nah pounchanay is ke alawa deegar ahteyati tadabeer ko bhi yaqeeni banaya jaye kyunkay hukkaam ke samnay Secunderabad ki mashhoor hotel City Light ka saneha mojood hai. city light hotel ke munhadim honay se is haadsay mein 17 afraad ki mout waqay hui thi .

hyderabad shehar ke halaat mukhtalif hain aur yahan ki mukhtalif Hotels mein yeh bhattiyan taamer ki jati hain taakay un bhattiyoun  mein Haleem tayyar ki jasakay. tareekhi Charminar ke ilaqa mein sadiiyon qadeem bazaar hon ya phir dono judwa shehar-e-hyderabad wo Secunderabad ke dosray ilaqay, Hotels ke samnay Haleem ki bhattiyan lagai jati hain jo ek aam nazarah hai. maahir ustaad apne shagirdoun ke sath badi hi mehnat se badi badi Deghoun mein Haleem banatay hain. yeh mukammal pakwaan jo das taa 12 ghanton tak jari rehta hai lakdiyoun par kiya  jata hai .

Gosht, Ghee, Daal aur Masala jaat se tayyar ki jaane wali Haleem darasal 1 arabi dish hai jo mughal dour may Afghanistan aur Iran se hotay hue hyderabad pohanchi. hindustani masala jaat, khushk meway jaat, ghee aur pawan ke munfarid tareeqa se is nam-e-seyal dish ko hindustani rang diya gaya hai aur is ki tayari mein Hyderabad ko mulk bhar mein munfarid maqam haasil hai .

Is tarha hyderabad ki pehnchan ab Biryani ke sath Haleem se bhi honay lagi hai. five stars hotels se le kar mashhoor aur chote Hotels mein tak Haleem tayyar ki jarahi hai jo Ramadan-ul-mubarak mein Iftaar ke waqt ek tarjeehi ghiza  hai. is ki wajah is ki taghzia bakhash noiyat aur zayega hai .-YTN STAFF