Riyadh: Saudi wazeer e dakhla aur sarbarah alla Hajj Committee shehzada Abdalaziz Bin Saood ne is saal Hajj mausam mein shareek security force ke Commanders aur security idaroun ke Alla ohdedaroun ke sath online video ijlaas kiya.
Unhoun ne Mina, Arfat aur Muzdalifa Hajjaj ki aamad o raft se mutaliq intizamaa aur inhen pesh ki jaane wali sahulatoun ka jaiza liya hai. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq wazeer e dakhla ne har baras ki terhan is saal bhi Hajj se mutaliq tamam ahem umoor par ghaor o khoz kiya. Traffic, Sahet, Security aur hifazati tadabeer Schemes ka jaiza liya gaya.
Hajj ke douran sab se ahem masla Mina, Muzdalifa aur Arfat hajion ki aamad o raft ka hai. Is se mutaliq intizamaa par khaor o khaos kiya gaya. Hajion ko Hajj ke kaam aasani se ada karne ke liye zurori saholaten zair behas ayen.
Wazeer e dakhla ne security force aur Hajj security ke Commanders ko mukhatib karte hue kaha ke Shah Salman aur Wali Ahad shehzada Mohammad Bin Salman ki wazeh hidayat hai ke hajion ki salamati ko yakeeni bananay ke liye har mumkin iqdaam kiya jaye.
Shah Salman ka hukum hai ke Hajj ke kaam behtar shakal mein injaam den aur corona waba se nimatnay ke liye sahet intizamaa Alla darjay ke hon. Yaad rahay ke is saal corona ki wajah se Hajj ka fareeza ada karne ka mauqa sirf mehdood aazmin ko diya gaya hai jis ke liye aan darkhwastoun ka amal mukammal hochuka hai. 160 mumalik ke aazmin ne fareeza Hajj ke liye online darkhwast di hai.