Latest News

Hajj aur Umrah ke boycott ka mutalba

By News Desk Roman Urdu

July 06, 2019

Ṭarābulus : Libya ke mufti Azam ney duniya bhar ke musalmanoun se kaha hai ke woh Hajj  aur Umrah ka boycott karen. Mutadid deegar muftiyan ki janib se bhi musalmanoun ko Hajj  aur Umrah ke liye Saudi arab na jaaney ka mashwara diya ja raha hai. libya ke Mufti Azam Sadiq Al Gharyani ki janib se jari kardah fatwe mein kaha gaya hai ke zaireen ke Hajj  aur Umrah se haasil honey wali kamaai ko Saudi hukoomat deegar musalmanoun ke qatal ke liye istemaal karti hai .

Al Gharyani  ke mutabiq, jo paisa zaireen Saudi hukoomat ko dete hain, Saudi hukoomat is Paise ka istemaal karke dosray musalmanoun ke khilaaf jaraim karne ke liye istemaal karti hai. 20 laakh se zayed musalman Hajj  ke liye mecca may is martaba zaireen ke liye Smart Hajj  ki sahoolat par is fatwe mein kaha gaya hai ke aisay afraad jo pehlay Hajj  ya Umrah kar chuke hain agar woh dobarah Saudi arab jatay hain to yeh sawab nahi balkay gunah hoga. Isse qabal Akhwan al muslimun se talluq rakhney walay mufti Yousuf al qarzawi nay bhi ek fatwe mein duniya bhar ke musalmanoun ko Hajj  aur Umrah na karne ka mahswara diya tha.

Al Qarzawi ke Mutabiq Allah ko aap ke Hajj  ki zaroorat nahi hai. asal zimme daari jo is nay aap par daali hai, woh hai apne bundoun ke kaam aana hai. unhoun nay kaha, musalman Hajj  aur Umrah par paisa kharch karne ki bajaye bhookhoun ko khana khilain, bimaroun ki Timardaari aur ilaaj karen aur be gharoun ko ghar faraham karen, kyun ke Allah ki nigah mein Paise ka yeh istemaal Hajj  aur Umrah se kahin behtar hai. unhon nay mazeed kaha hai ke deegar insanon ke kaam kar ke aap ko kaabay ke gird tawaf se ziyada qalbi sukoon aur Rohani itminan mileyga.

Ṭarābulus  ke mazhabi rehnumaon nay bhi mulk ke mufti Azam se kaha hai ke woh logoun ko Hajj  ke liye Saudi arab jaaney se rokney ke liye Fatwa jari karen. Ṭarābulus  ki imamoun ki Union ke ek senior ohdedar Faisal al Shaoor nay kaha hai ke Saudi arab ilaqai jango mein mulawis hai aur usay zaireen ki janib se sarmaya faraham nahi hona chahiye. Al Shaoor nay mazid kaha jo Paise Saudi hukkaam ko Hajj  ki wajah se haasil hota hai, woh duniya bhar ke ghareeb musalmanoun ke madad ke liye istemaal nahi karta, balkay logon ko qatal aur be ghar karne ke liye istemaal karta hai, jaisa ke is waqt Yamen mein ho raha hai. unhoun nay kaha ke Ṭarābulus  ke bashinday Hajj  ka boycott karen aur yeh sarmaya ghareeb afraad ki madad ke liye istemaal karen, jo gurbat aur iflaas ki wajah se pareshan haal hain. –YTN STAFF