Golconda

Hyderabad

Golconda ki marammat ka anqareeb aaghaz, Aurangzeb ke ehad ka tope bhi muntaqil kiya jayega

By News Desk Roman Urdu

December 04, 2020

Hyderabad:  Highcourt ne Hindustan ke aasaar-e-Qadima ke surway of India ( ASI ) se Golconda qilah ki dekh bhaal karne ke hidaayat ke  sirf chand  haftoun baad hi  markazi conservation body ne un ilaqon ki marammat ka kaam shuru karne ka faislay karliya hai jo haliya hyderabad ke selaab se sab se ziyada mutasir hue thay.

ASI ka mansoobah hai ke khilwat ke ilaqay ke sath sath rani mahal ke peechay ke ilaqay ki  maramat aur bahaali ka kaam bhi shuru kiya jaye. baqiya dhanchay ko mustahkam karne ke liye girte hui diivaaren bhi  mustehkam ki jayengi jiske liye un ki bhi marammat hogi.

Qilay ki deewar ko mazeed girnay se bachney ke liye dheelay, muntashir patharon aur malba  ko hata diya jayega. october mein  hui taiz  barish aur selaab  ki wajah se qareeb 20 foot lambi deewar ka ek hissa gir gaya tha.

ASI jis ne pehlay hi tender jari kiya hai, is mansoobay ko aglay chaar se chay mah ke andar mukammal karne ka iradah rakhta hai. ASI bhi naya qilah ke majnu burj ko bahaal karne ke liye tayyar hai jo shadeed baarisho ki wajah se girgaya.

Central conservation body pehlay ek bohat bada tope  muntaqil karegi. kaha jata hai ke Aurangzeb ne 1687 mein Golconda qilay par bombari ke liye yeh tope istemaal kiya tha. bahaali ke kamon ko anjaam dainay ke liye burj ke oopar se zameeni satah tak marammat ki jaye gayi.