New Delhi: Ayodhya mein Babri Masjid Ram janam bhoomi muamlay mein jald hi faislay aanay ke pesh-e-nazar, mulk ke Chief justice Ranjan Gogoi ne Uttar Pradesh ke Chief secretary Rajendra Kumar Tiwari aur director general police OP Singh ko bulakar riyasat ke aman wo qanoon ke barey daryaft kiya.
Supreme court ke ahatay mein Chief justice ke chamber mein Gogoi ke sath unke ohdedar ijlaas mein faisla sunanay wali bench ke charoun judge aur reyasti hukoomat ke deegar Aala ohdedar bhi mojood they.
Bataya jata hai ke Gogoi ne riyasat ke aman wo Amaan ke barey mein tafseel se maloomat haasil ki. Ayodhya ke mutanazia muqam par qabzay se mutaliq Supreme court ke Chief justice ki sarbarahi mein aaeni bench ne samaat 17 october ko mukammal karli thi aur aglay hafta is mashhoor muamlay ka faisla aaney ka imkaan hai.
Is faislay se pehlay, akhil bhartiya seva samiti, RSS aur VHP ne yaqeen dehani karwai hai ke woh faislay ko shikast wo fatah ya hindu muslim firqa-waranah ki soorat-e-haal mein badlne nahi lenge aur na hi kisi ko koi chadhanay ya ishtial angaiz walay bayanaat denge. Muslim samaaj ki janib se, All India Muslim Personal law board, Sunni waqf board waghera ne bhi adalat ke faislay ka mukammal ehteram karne ka wada kiya hai. –YTN STAFF