Slider

Giraftari ke liye Mujrim ney Facebook par 15 hazaar Likes ki shart rakhi

By News Desk Roman Urdu

June 22, 2019

New York: Social Media ke junooni afraad ki duniya mein kami nahi hai lekin ab aik aisa anokha waqhiya samney aaya hai jis mein mulzim ney apni khud supurdagi ko Facebook par Police ki janib se jari kardah is ki tasweer ko 15 hazaar Likes (Pasand) se mashroot kardiya kyunkay jab mulzim giraft mein nahi araha tha to Police ney is ki giraftari ke liye tasweer Facebook par shaya kar di jis par mulzim ney kaha ke agar uski tasweer ko 15 hazaar se ziyada martaba pasand kiya gaya to woh khud ko Police ke hawalay karde ga. Mujrim ney apni is anokhi farmaaish poori honay ke baad khud ko police ke hawalay kar diya.

Tafseelaat ke mutabiq America mein dilchasp waqhiya paish aaya jis mein mafroor mujrim ney Facebook par tasweer ke 15000 Likes milnay par khud ko Police ke hawalay karne par Raza mandi zahir ki thi. Ab aik mah se zayed arsa guzarnay ke baad tasweer par 29 hazaar Likes miley hain aur giraftari daydi hai. America ke shehar Connecticut ke mafroor mujrim aur Torrington Police Department ke darmiyan moahida huwa tha jis mein mujrim Jose Simms ney wada kiya tha ke agar Facebook par meri tasweer par 15 hazaar Likes aagaye to mein khud giraftari day dun ga.

29 sala Jose par saat muqadmaat ayed kiye gaye they aur woh baar baar talabb karne ke bawajood nah giraftari day raha tha aur nah hi adalat mein haazir ho raha tha. Phir Police ney is ki tasweer Facebook par shaya ki is par khud mujrim ney likha ke agar is ki tasweer par 20 hazaar Likes aajate hain to woh giraftar hojaye ga. Is par police ney bhagavat karte huwe kaha ke woh 10 hazaar Likes par giraftari daiday. Lekin phir dobarah mujrim ney comments mein likha ke agar 15 hazaar likes huwe to woh khud thaaney aajay ga aur is terha 15 hazaar likes par ittafaq hogaya. Is ke baad Police ney kayi martaba Jose ki tasaveer Social Media par post kee jis ke baad mazeed logon ney usay share kiya aur pasand kaya. Viral honey ke baad aik mah mein is ki tasweer par 29 hazaar Likes mil chuke they. Apne waday ke mutabiq Jose ney Enfield Police Department ko phone karkay kaha ke woh falan jagah mojood hai aur usay girftar karliya jaye. Is par adalat aur Police se bhagney ki daf-aat bhi lagai gayi hain. Mujrim ki zamanat ki raqam 30500 hazaar dollar rakhi gayi hai aur usay judge ke samnay bhi paish hona hai. Aakhri waqt tak is ki tasweer par 1700 logon ney –apne khayalat ka izhaar bhi kya tha.