Hyderabad: Shehar ki tareekhi imarat Muazzam Jahi Market ki tazaeen o araish aur khoubsurti ke sath hi, Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) Ab apne ek aur virsa ki jagah, Mehboob Chowk, Jaisay Murgi Chowk ke naam se jana jata hai ki tazaeen o khubsurati ki taraf tavajja day rahi hai.
Pichlle saal, Municipal Corporation ne Market ke qareeb Clock Tower ki murammat aur razaeen o araish ka kaam shuru kar deya gaya. Chunkay Market ko qadeem virsa ke tor par jana jata hai, GHMC ab is par tavajja markooz kar rahi hai. Aur is ilaqay ki maazi ki azmat ko bahaal karne ki koshishen teez ki ja rahi hain.
GHMC ne Javaharlal Nehru Technology University ( JNTU ) ke mahireen ki Report ka mutale karne aur pesh karne ke liye guzashta saal ek Ramp banaya tha. Mahireen ne bataya ke ye dhancha khasta haalat mein tha aur ye kaarobar aur rahaish ke liye mozoun nahi tha. Is ke baad Corporation ne mojooda dhancha ko munhadim karne 36 crore rupay ki laagat se ek nai taamer noka takhmeenah tayyar kia tha.
GHMC ki Studding committee ne mansooboun ki manzoori day di thi. Aur kamoun par amuldar aamad ke liye hukoomat se intizami manzoori talabb ki thi. Taham virsa ke karkunaan is tajweez ke khilaaf ho gaye aur chahtay they ke GHMC apne mansooboun par nazar sani kere. Ab Corporation is dhanchay ki sabiqa azmat ko barqarar rakhnay ke liye dosray imkanaat talaash kar rahi hai.
GHMC ke ek Senior ohdedar ke mutabiq, Is mein 2 tajavays hain. Ek to ye ke mojooda Structure naqali karte hue Ground Plus pehli manzil ka dhancha tayyar karen, Dosra ye ke is ki khoubsurti ko bahaal karne ke kamoun ko shuru karen, Jaissa ke MJ Market mein huva tha.
Unhoun ne kaha ke ”MJ Market ke kaam takmeel ke qareeb hain aur jald hi is ki takmeel ke baad, Hum Murghi Chowk ke kaam shuru kar denge. Tawaqqa hai ke jald hi is silsila mein tabadlah khayaal karne aur aindah ke lahe amal ko hatmi shakal dainay ke liye ek ijlaas talabb kiya jayega.
Is waqt Mehboob Chowk mein taqreeban 230 kanen hain. Un mean se bohat se kaali hain aur kuch ko nuqsaan pouncha hai. 1930 ki dahai mein MJ Market ke sath taamer kiya gaya, Mehboob Chowk darasal nuwardaat ke liye tha, Jo nuwardaat, Terhan terhan ke parinday, Aur Kirana ke samaan o deegar ashya farokht karne walay dukandaroun ke liye tha. Lekin saloon ke douran, Murgh ki dukanoun ne is par qabza jama liya aur Mehboob Chowk se ye ilaqa Murghi Chowk ke naam se mashhoor hogaya. –YTN STAFF