Riyadh: Saudi Arab mein Ghar-e-Hira aur Ghar-e-Soor ko jadeed sahulatoun se aaraasta karne ka pehla marhala mukammal karliya gaya hai. Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq Ghar-e-Hira aur Ghar-e-Soor Islami tareekh ke 2 ahem ghaar hain, Paighambar Islam hazrat Mohammad par sab se pehli wahi Ghar-e-Hira mein nazil huvi thi jabkay unhoun ne Mecca se Madinah hijrat karte waqt pehli panah gaah ke tor par Ghar-e-Soor ka sahara liya tha.
Hajj, Umrah aur ziyarat par anay walay Musalman aalam Mecca atay hain to un dono gharoun ki ziyarat ka program banate hain. Dono ghaarun ki tajdeed o tazaeen ka kaam 3 marhaloun mein kiya ja raha hai. Phele marhalay mein Ghar-e-Hira aur Ghar-e-Soor ke atraaf aur anay jane walay raastoun par tehreer aur shakle saaf kardi gayeen. Pehla marhala mukammal huja ne ke bad dosre marhalay mein Ghar-e-Soor aur Ghar-e-Hira ke andar sang mar mar ke tukde hataye jayenge aur Cement ki sele saaf ki jayengi.
Teesray marhalay mein lakdi, lohay aur tin se banai gayi earzi tansibat saaf ki jayengi aur ye sara kaam chand haftoun mein mukammal karliya jayega. Ghar-e-Hira aur Ghar-e-Soor ke mansooboun ki nigrani mein Mecca, Royal Commission baraye Mecca aur muqaddas maqamat ke alawa Mecca Mukaramah Development Authority, Baldia Mecca hessa le rahi hain. Yaad rahay ke dono tareekhi ghaaroun ke liye mansoboun ka elaan Governor shehzada Mecca Khalid Al Faisal ne kiya tha. –YTN STAFF