Latest News

Ghaar-e-Hira ke liye Cable Car ka mansoobah

By News Desk Roman Urdu

August 19, 2020

Riyadh: Mecca Mukarmah mein Jabal Al Nour Cable Car nasb karne ke mansoobay par ghhor kiya jaraha hai is zimn mein shehri mansoobah bandi se mutaliq mutadid sarkari idaron ki janib se taraqiyati programme par mushtamil Report mutaliqa wizarat ko pesh ki gayi hai. Saudi Arab ke muqami media ke mutabiq muqaddas dar-ul-hukomat mein mukhtalif Islami tareekhi ahmiyat ke haamil maqamat par taraqiyati umoor se mutaliq committee ki sifarshaat mein kaha gaya tha ke Jabal Al-Nour aur Jabal Al Soor par anay walay zaireen ki sahoolat ke liye taraqiyati kaam kiye jayen.

Sifarshaat ki roshni mein mukhtalif hakoomati idaron ki janib se tayyar ki jaaane wali jamia report ki roshni mein Ghaar-e-Hira ki pahadi par cable car nasb karne ka faisla kiya gaya hai taakay anay walay zaireen ko Ghaar-e-Hira jane mein sahoolat ho. Mossola it-tila-aat ke mutabiq Jabal Al Nour par nasb ki jaaane wali cable car intahi jadeed noiyat ki hogi jis ke zariye zaireen Ghaar-e-Hira tak pahonch saken ge. Mansoobay ke mutabiq Al Nour pahad par cable car Ghaar-e-Hira se kuch pehlay banay Platform tak zaireen ko laaye gi jis ke baad ki masafat paidal tey ki jaye gi.

Wazeh rahay Jabal Al Nour wo pahadi hai jis ki chouti par Ghaar-e-Hira waqay hai jahan se Noor-e-Nabowat  ﷺ ka aaghaz huwa aur Nabi Akram par pehli wahi nazil huvi. Jabal Al Nour Masjid Al Haram ke shumal mashriqi simt waqay hai. Is ki bulandi 642 meter hai. Ghaar-e-Hira pahadi ki chouti par waqay hai jahan se Mecca Mukarmah shirka khobsorat manzar dikhayi deta hai. Al Nour pahadi ke baray mein kaha jata hai ke Mecca Mukarmah mein apni noiyat ki wahid pahadi hai jo apni munfarid saakht ki wajah se daur se hi pehchani jati hai. Kuch arsa qabal baldia ki janib se baday pemanay par Ghaar-e-Hira ki safai aur tazaeen ka kaam mukammal kiya gaya.