Slider

Germany, Kamrah adalat mein Scarf pehanne par pabandi

By News Desk Roman Urdu

February 28, 2020

Berlin: German riyasat Hesse mein wakla samet tamam adalti amlay par pabandi aed ki gayi hai ke karma adalat mein koi Head Scarf na pehne. Is pabandi ke khilaaf ek khatoon ne Germany ki aala tareen dastoori adalat se rujoo kiya tha. Is khatoon ka muaqqaf tha ke reyasti hukoomat ki janib se aayed karda ye pabandi German dastoor se mutsadam hai, Taham dastoori adalat ne is ke barkhilaf faisla diya.

Germany ki is aala tareen adalat ke mutabiq karma adalat mein wukla aur trainers ko head Scarf pahanne se rokna ghair aini amal nahi hai. Murakshi khatoon ka muaqqaf tha ke reyasti hukoomat ki janib se ayed kardah is pabandi ki wajah se is ke zaati izhaar ke haq aur aazadi mazhab ke usool ki khilaaf warzi huvi hai.

Taham dastoori adalat ne kaha ke Head Scarf nazriye aur mazhab ki alamat hai, Jab ke German dastoor ke mutabiq riyasat ko kisi nazriye ya mazhab ke aitbaar se ghirjanib daar rehna hai, Is liye reyasti qanoon saaz Head Scarf pahanne par pabandi aed karne ka haq rakhtay hain. Is adalti faislay mein kaha gaya riyasat paband hai ke wo ghirjanb daar rahay, Lekin riyasat ghirjanb daar nahi reh sakti agar is ke hukkaam khod ko ghirjanb daar zahir nah karen, Kyun ke riyasat ki akkaasi afraad ke zariye hoti hai. Is muamlay par Jury mein faqat ek Judge Mizusaki ne is faislay ke khilaaf Vote diya. Mizusaki ne kaha ke un ki nigah mein mazhab aazadi ko dastoori qanoon ke tehat jancha nahi ja sakta.

Wazeh rahay ke 2017 mein Hesse soobay mein Murakshi nazaad German khatoon ne waqalat ki qanooni tarbiyat lena shuru ki, To inhen bataya gaya ke wo kamra adalat mein Headscarf pehan kar nahi aa sakten. Unhoun ne un hidayat ke khilaaf Hesse soobay ki aala intizami adalat se rujoo kiya lekin muqadma hargayen. Is ke baad wo ye maamla Germany ki dastoori adalat mein le gayen. –YTN STAFF