India

Garmi Nay Rail Mein Safar Karne Walay Musafireen Ki Jaan Leli

By News Desk Roman Urdu

June 12, 2019

Jhansi :  Uttar pradesh mein garmi ka qehar jari hai. khaas tor se riyasat ke Bundelkhan ilaqay mein darjah-e-hararat 50 degree Celsius hochuka hai jo ke naya record hai wahein New Delhi se kerala jaaney wali kerala express ke 4 musafiroun ki darjah-e-hararat mein shiddat ki wajah se mout hogayi. JRP zaraye ke mutabiq kerala express rail ke zareya agra se koitambur tak ka sleeper class mein safar karne walay paanch musafiron ne loo lagnay ki shikayat ki jin mein se 4 nay shaam ko dam todh ya jabkay ek ko naazuk haalat mein dawakhana mein daakhil karwaya gaya hai. marnay walon ki laash ko jhansi station laya gaya hai aur yahan se post mortem ke liye bheja diya gaya .

Marnay walay kerala se anay walay 68 aqeedat mandoon ki team se hain jo shumali hindustan ke mukhtalif mazhabi maqamat ke darshan ke liye niklay they. woh kerala wapas jarahay they ke achanak rastay mein hi un ki tabiyat kharab hogayi. marnay walon ki shanakht Palani-swami ( 80 ), Bal krishna ram -swami ( 69 ), Dheema naye ( 71 ) aur Subariya( 80 ) ke tor per hui hai. mehakma mosmiyat ke mutabiq is waqt Uttar pradesh mein garmi ka qehar jari hai aur mutadid ilaaqon khaas kar Bundelkhand mein darjah hararat 50 degree se ziyada hai. Mathura mein mausam ka darjah hararat 50 degree record kiya gaya, isse qabal 1995 mein Banda mein 48.9 degree Celsius darjah hararat record kiya gaya tha jo ke abhi tak record tha .

Baanda mein darjah-e-hararat 49.02 feesad  jabkay Prayagraj mein 48.9 degree ke sath chaar dahoun ka record toad diya jab 1979 mein yahan darjah-e-hararat 48.8 record kya gaya tha. ilawa azeen jhansi ka darjah-e-hararat 48.01, Hamirpur mein 47.02, Varansi mein 46.4, Urai mein 46.05 aur Agra mein darjah-e-hararat 46.6 degree Celsius record kiya gaya .

Mehakma mosmiyat nay aindah 24 ghanton mein kuch ilaaqoun mein taiz hawaon ke chalne ki pishin qiyaasi ki hai lekin ek haftay se qabal garmi se raahat milnay ke umeeden kaafi kam hain jab ek haftay baad hi manson ke anay se qabal Boondah Bandi ke assaar hain. mehakma mosmiyat nay June ke aakhir aur July ke pehlay haftay mein manson ke dastak dainay ki peshin qiyaasi ki hai . –YTN STAFF