Trending News

Garbh Urdan ke ilaaqoun ka ilhaaq ghair qanooni

By News Desk Roman Urdu

June 30, 2020

Ramallah: Aqwam mutahidda ne maqboza garbh Urdan ke ilaaqoun ke ilhaaq ka Israeli mansoobah ghair qanooni qarar dete huve khabardaar kiya hai ke is iqdaam ke tabah kun nataij ho satke hain. Aqwam mutahidda ki High Commissioner baraye insani huqooq Michelle Bachelet ne kaha hai ke kisi bhi qisam ka ilhaaq ghair qanooni hai, Khuwa wo garbh Urdan ke 30 feesad hissay ka ho ya phir 5 feesad ka. Deegar mumalik ke rehnumao sameit high commissioner Michelle Bachelet ne bhi Israeli wazeer e azam Benjamin Netanyahu se ilhaaq ka mansoobah tark karne ki Appeal ki hai.

Wazeh rahay ke Israeli hukoomat ney yakam July se garbh Urdan, Waadi Urdan aur Bahera Murdaar sameit Palestine ke kayi ilaaqoun ko batadreej apni khud mukhtari mein laane ka elaan kiya hai. Aalmi baradri ki taraf se Israel ke iqdamaat ki sakht mukhalifat ki gayi hai. Aqwam mutahidda ki high commissioner ney apne bayan mein wazeer e azam Netanyahu se Israeli sabiq aala ohdedaroun aur fouji Generals ke bayanaat aur duniya bhar se uthnay wali awazoun par kaan dharnay aur ghhor karne ka kaha hai.

Unhoun ney Israeli wazeer e azam ko is khatarnaak rastay par agay bhedne se bhi khabardaar kiya hai. Americi sadar Donald Trump ke Israeli mansoobay ki himayat ney bhi garbh Urdan aur deegar ilaqoun ke Israel ke sath ilhaaq ki raah hamwar ki hai. Aqwam mutahidda ki high commissioner Michelle Bachelet ney Israel se apni hikmat e amli tabdeel karne ka kaha hai aur khabardaar kiya hai ke is mansoobay ke daur ras asraat kayi dahaiyo tak mehsoos kiye jayen ge, Jo Palestine samait Israel aur khittay ke liye bhi be hadd khatarnaak saabit hon ge.

Is se qabal aqwam mutahidda ke secretary general Antonio Guterres ney Israeli hukkaam se mutalba kiya tha ke wo maqboza garbh Urdan mein Israeli bastiyoun ko apne zair control karne ki Schemes se dastbardar ho jayen. Jabkay 25 Europe mumalik ke 1 hazaar se zayad arkan parliament ney bhi garbh Urdan ke ilhaaq ke Israeli mansoobah mustard kar chuke hain.