India

Gali mehloun ki deegar dukanain kholnay ki mashroot ijazat

By News Desk Roman Urdu

April 25, 2020

New Delhi: Hindustan mein Coronavirus Infection par qaboo panay ke liye guzashta taqreeban ek mahinay se Lockdown hai lekin markazi hukoomat ney aaj se sabhi dukanain kholnay ki kuch shertoun ke sath manzoori day di hai. Lekin Single aur Multi Brand Shopping Mall ab bhi band rahenge. Mulk bhar mein jari Corona Lockdown khatam honay mein abhi ek hafta se bhi ziyada ka waqt baqi hai aur ye 3 May tak jari rehna hai lekin markazi hukoomat ney logoun ko raahat dete huve aaj se mulk bhar mein gali mehloun ki sabhi dukanain kholnay ki kuch shertoun ke sath manzoori day di hai. Shertoun ke mutabiq dukanoun ko apne nisf amlah se hi kaam chalana padega lekin Single aur Multi Brand Shopping Malls filhal band hi rahenge. Sath hi Hotspot aur Contentment Zone qarar diye gaye ilaqoun mein pabandiyan pehlay ki terhan hi jari rahengi.

Ghhor talabb hai ke 24 March se shuru huve Lockdown ke douran sabhi terhan ki dukanain aur idaray band kar diye gaye thay, Sirf doodh, Tarkari, Kerana aur dawa jaisi zurori cheezoun ki dukanain kholnay ki hi ijazat thi lekin Lockdown ka ek maheena poora honay par mazeed dukanain kholnay ki ijazat day di gayi hai. Markazi wizarat dakhela se jari aalamia ke mutabiq hukoomat ney rehaishi Colonies ke aas padous mein bani dukanoun aur aisi tanha dukanoun ko kholnay ki ijazat day di hai jo Municiple Corporation aur Municipality ki sarhadoun ke andar aati hon. Sath hi sath wizarat dakhela ney chand shert bhi rakhay hain.

Un sharait mein sab se ahem ye hai ke sabhi dukanain reyasti ya markaz ke matehat qayem Act ke tehat Registered honi chahiye. Is ke alawa dukanoun mein sirf nisf amlah hi kaam kar sakta hai. Staff ko Mask lagana zurori hoga aur Social Distancing ke qawaneen pur-amal karna bhi zurori hoga.

Loog umeed kar rahay hain ke jald hi kaarobar ek baar phir patri par aeyega. Ek mahinay se jari Lockdown ki wajah se dukanain band rehne se taajiroun ko Corers ka nuqsaan ho chuka hai. Yaad rahay ke is se pehlay 21 April ko hukoomat ne askole kitabon ki dukanoun ko kholnay ki ijazat day di thi. Is ke alawa bijli ke pankhay farokht karne wali dukanoun ko bhi ayed pabandi wali fehrist se baher kar diya gaya. Wizarat dakhela ne kaha tha ke shehri ilaaqoun mein waqay Bread Factory aur aatta Mills bhi Lockdown ke douran kaam shuru kar sakti hain. –YTN STAFF