Jurm

Gaayi Ki Halakat Ke Baad, Gaoun Ke Sarpanch Ke Khilaaf Muqadma Darj

By News Desk Roman Urdu

July 25, 2019

Muzaffar Nagar : Uttar pradesh ke muzaffar nagar zila mein aawara kuttoun ke hamla mein do gaayi ke maaray jaaney ke baad aik gaoun ke Sarpanch aur panchayat ke secretary ke khilaaf muqadma darj kya gaya hai. yeh waqiya chaharshambe ko muzaffar nagar ke bhopa gaon mein paish aaya. jiska video social media par viral ho raha hai.

Zaraye ke mutabiq, gaayoun ki panah gaah, jo panchayat ki janib se chalaye jati hai. mein munasib fencing nahi thi. jahan kutton ke hamla mein do gaayi margayin. zila magistrate’ silva kumari’ ne kaha ke Sarpanch aur panchayat ke secretary par ” Prevention of Cruelty to Animals Act  “ ke tehat maamla darj kiya gaya hai.

Unhon ne kaha ke shaded ghaflat wo laa parwahi ke liye panchayat secretary ko mu-attal kar diya gaya hai. aur sarpanch ko ek wajah batao notice bhi jari ki gayi hai. –YTN STAFF