Jurm

Funds ka galat istemaal, Israeli wazeer e azam ki ahliya ku makhoz kiye janay ka imkaan

By Abdul Aziz

June 17, 2018

Sara aur wazir e azam dono ney ilzamaat ki tardeed ki aur un ke khandan ke khilaaf mutawatar ilzaam trashyon ki mazammat ki. ilzaam saabit hojane par 5 baras qaid ki saza hosakti hai

Funds ke ghalat istemaal par Israeli wazeer e azam ki ahliya Sara Netaneyahu par jaria hafta fard jurm aayed honay ka imkaan hai. Wazeer e Azam Israel aur un ki ahliya ke khilaaf  badunwaniyon ke kayi ilzamaat ki tehqiqaat jari hain. Sara Netaneyahu par ilzaam hai ke unhon ney bawarchi ki maujoodgi ko khufia rakh kar baher se khana mangawaya tha. unhon ne sawwa crore rupay ke khaane wazeer e azam house mein jealsaazi se mangwaye they. Ghair mulki Media ke mutabiq Israeli wazeer e azam ki ahliya aur wazeer e azam house ke mouattal Deputy Director General ko dhoka dahi ka yeh ilzaam saabit hojane par 5 baras qaid ki saza hosakti hai. Attorney General Avicahi Mandelbit aur State Prosecutor Shai Nitzen tawaqqa hai ke apne faisla ka elaan karenge ke mulk ki ahem shakhsiyat ki ahliya ke khilaaf qanooni karwai ki jaye gi ya nahi. Agarchay sarkari taur par is ziman mein koi faisla hunooz nahi kya gaya hai magar it-tila-aat yeh ishara deti hain ke Netinyahu ke wukla ke sath moahida ki nakami ki soorat mein Wazeer e Azam ki ahliya ko maakhoz kiya jaye ga. Mrs Netinyahu par jo aik child psychologist theen, Wazeer e Azam ki sarkari rehaish gaah par khaano ki adai mein tax dahindgaan ke funds ka ghalat istemaal karne ka ilzaam hai. Balfort Street ke ghar par bawarchion ki adam mojoodgi ka ta-assur dete hue yeh bawar karwaya ke qawaid ki khilaaf warzi mein bahar se khana mngwaya jata raha hai. ilzaam hai ke jealsaazi ke zareya Chefs aur Restaurants ko 359, 000 shackle ( 102, 000 Amrici $ ) ke orders dyie gaye. Reports ke mutabiq Netinyahu ke wukla ke sath mafahmat ki soorat mein fard jurm ka aayed kyajana moqoof hosktahe jis ke tehat inhen hukoomat ko istemaal shuda raqam wapas lotana hoga. bataya jata hai ke sara Netinyahu se kaha gaya ke maamlat darkhwast mein woh ibtida mein nis 200, 000 ( 56, 128 Amrici dollar ) ada karen jis ko unhon ney yeh kehte hue yklkht mustard kardiya ke raqam baazadai ki bajaye jail jana gawara karen gi. mrs Netinyahu ke wukla ney id-daa kya ke sara ney un ke akhrajaat ki tafseelaat ki nigrani ke liye Wazeer e Azam ke daftar aur Wazeer e Azam ki rahaish gaah ki maaliyati waa intezaami teamon par aetmaad kya aur woh is waqt la ilm theen ke woh aik jurm ka irtikaab kar rahi hain. unhon ney istadlaal paish kya ke is terhan woh jaan boojh kar jurm ka irtikaab nahi kya hai