Slider

French open mein khiladi sirf 2 hotel mein qiyam karen ge

By News Desk Roman Urdu

September 09, 2020

Paris: French Open mein shirkat karne walay Tennis khiladi do Hotels mein baghair kisi istashna ke muqeem rahen ge. Tournament ke Director Guy Forget ne kaha ke is mah ke aakhir mein shuru honay walay French open ke tamam khiladion ko coronavirus se honay walay khatraat ko kam karne ke liye do naamzad Hotels mein baghair kisi istashna ke rakha jaye ga.

Guy Forget ney yeh bhi elaan kiya ke 27 September taa 11 October ke tournament ke douran woh jin 20 hazaar afraad shirkat ki umeed kar rahay they is ki bajaye ab sirf 11500 shaiqeen ko daakhil diya jaye ga. Francesi hukoomat ka mojooda qanoon awaami ijtima ko 5000 afraad taq mehdood rakhnay ki ijazat day raha hai.Roland Garros Complex ko 3 allag allag ilaqon mein taqseem kiya jaye ga aur un ilaqon ke darmain afraad ki hamal-o-naqal par sakht sharait ayed rahen ge. Philippe Chatrier aur Suzanne Lenglen sirf 5 hazaar shaiqeen taq mehdood rahen ge jabkay Simonne Mathieu sirf 1500 afraad ko dakhile ijazat hogi. Bairooni court ke liye koi ticket farokht nahi hoga.

15 dinon mein majmoi tor par 1500000 se kam madahon ki aamad ki tawaqqa ki ja sakti hai. 2019 ke French Open mein shareek 5200000 ke sirf ek chothai se ziyada afraad is martaba French Open se mahzooz hosakin ge. Forget ney kaha French open aamad ke baad khiladion ki jaanch ki jaye gi aur pehla manfi test anay ke sath hi un hi Tournament mein shirkat ki manzoori mil jaye gi.

Unhoun ney mazeed kaha ke dosra test 72 ghantay ke andar aur phir har paanch din baad Tournament mein kisi khiladi ki shirkat test ke nataij par munhasir ho gi. French Tennis Federation ke Director General Jean-Francois Vilotte ney kaha hum fazaiya se mutaliq muamlay mein nahi soch rahay hain kyunkay yeh ek khayaali tasawwur hai balkay hum zameeni haqayiq ko samnay rakhtay hue aisay iqdamaat kar rahay hain jis ke zareya corona ke phelao ko roknay ke ilawa tennis ke muqablon ko mehfooz mahol mein mukammal kiya jasakay.