Slider

Facebook par cyber hamla, 50 million users ka data leak!

By News Desk Roman Urdu

September 29, 2018

Hackers ney 5 crores Facebook users ke accounts tak rasai haasil karli. 9 crores users ki khidmaat logged out magar baad tauseeq haqeeqi users ko khidmaat bahaal.

Samaji rabton ki sab se barri aur mashhoor Website ”Facebook” par namaloom Cyber Hackers ke hamla ke baayis 5 crores users ka niji data Leak hojane ka khadsha hai. Executives ney jummay ko kaha ke jin accounts ke hack karliye jaany ka khadsha hai un ki services logged out kar di gayi hai chunkay tehqiqaat jari hain. Yeh cyber hamla Facebook par kiye gaye ab tak ke hamlon mein sab se bada security hamla samjha jaraha hai.Hacker  ya Hackers jin ki tadaad Facebook ko pata nahi hai, zayed az 5 crores users ke accounts tak rasai haasil karne kayi software bugs ka istehsal kya. Iss rasai se mudakhlat kaar ko istemaal kunindgaan ke profiles par ya kisi bhi application par jis par woh Facebook account istemaal karte hue sign in hotay hain, users ki tarha karwai karne ka mauqa mila. Facebook ke maalik Mark Zuckerberg ney kaha hai ke maamla ko bohat sanjeedgi se liya ja raha hai aur is ka hal nikala ja raha hai. Tafseelaat ke mutabiq Facebook hukkaam ka kahna hai ke rawan hafta Company ko iss baat ke isharay miley ke Facebook ke accounts ko hack karne ki koshish ki jarahi aur cyber hamla ke zareya iss ka posheeda code istemaal karkay users ke accounts tak rasai haasil karne ka khatrah hai. Doosri taraf Facebook ke baani Mark Zuckerberg ney kaha ke hum iss maamla ko bohat sanjeedgi se le rahay hain aur is ka hal nikaal rahay hain, Company ki janib se Facebook ke users ke tahaffuz ko yakeeni bananay ke liye poori koshish jari hai jabkay is ke liye thos iqdamaat bhi kiye jarahay hain, itnay khatarnaak maamla ki nishandahi pehlay hi marhala par karli gayi hai aur yeh itminan bakhash baat hai. Mark Zuckerberg ney kaha ke taqreeban 90 million se zayed Facebook users ke accounts logged out karaye gaye jo un ke tahaffuz ke liye zurori tha aur baad tauseeq unhen bahaal kya ja raha hai, hamein un logon ki taraf se musalsal cyber hamlon ka saamna rehta hai jo accounts par qabza kar ke duniya bhar se maloomat chori karna chahtay hain, iss liye bohat zurori hai ke hum mukhtalif tareeqay ikhtiyar karte rahen taakay aisay waqeat runuma hi nah hon. Facebook ney agarchay iss masla par qaboo pa liya hai magar fil-waqt is ke paas ahem sawalaat ke jawabaat nahi hain. Yeh baat abhi tak saaf nahi hui hai ke Hackers ney is rasai se kya haasil kya hai? Aaya unhon ney niji data haasil karliya hai ya phir haqeeqi istemaal kunindgan ki talbees shakhsi ki aur gumraah kun maloomat post kee? Kya yeh intikhabi mudakhlat ki aik aur noiyat toh nahi hai? Zuckerberg ney kaha ke mujhe khushi hai ke hum ney iss ka pata chala liya hai, hasasiat ki nishandahi karli gayi hai aur jin accounts ko khatrah la-haq tha un ko mehfooz kardiya gaya hai, haqeeqat yeh hai ke hamein zaroorat hai ke aisay waqeat ko pehlay hi se roknay ke liye naye tools waza kiye jayen.