Jhonpdi mein qaid shakhs ko ghulam banaye jane ka shuba
England mein hakoomati ohdedaron aur aam shehrion ne 1 shakhs ka pata chalaya hai jis ney khud ko musalsal 40 saal se aik jhonpdi mein muqeed kar rakha tha. Bartanwi hakkaam ney mazkoorah shakhs ki shanakht nahi ki taham un ka kahna hai jhonpdi se nikalay jane walay shakhs ne musalsal 40 saal isi jagah zindagi guzari. Iss jhonpdi ki lambai pauney do meter 6 foot aur choraai pauney 2 meter hai. Iss shakhs ki umar 58 saal bataaye jati hai. Jab woh iss jhonpdi mein aaya to uss waqt is ki umar 18 saal thi. Mazkoorah jhonpdi shumal maghribi England mein waqay’ Cambera’ shehar ke nawahi ilaqa’ Carlisle’ mein waqay hai. Wahan se milney walay shakhs ko tibbi muaney ke liye Hospital muntaqil kiya gaya hai. Usay zaroori jismani aur nafsiati muawnat faraham ki ja rahi hai. Muqami akhbarat ke zareya se pata chala hai ke police ney aik 79 sala shakhs ko giraftar kiya hai jis par aik 58 sala shakhs ko ghulam bananey ka shuba zahir kiya gaya hai.