Slider

Emarati khatoon se shadi ke liye Passport mein ja-al saazi

By News Desk Roman Urdu

January 22, 2020

Sharjah: Beroun mulk safar ya deegar umoor ke liye dastawizaat mein ja-al saazi ek aam terhan ka jurm tasawwur kiya jata hai lekin mutahidda Arab Emirate mein aisi ja-al saazi ka muqadma samnay aaya jis par adalat hi nahi sab heran reh gaye kyunkay 1 shakhs ne shadi ke liye khud ko Emarati shehri zahir karne ke liye jaali Passport istemaal kiya. Arab mulk se talluq rakhnay walay 1 shakhs ne Emarati khatoon se shadi ke liye Passport mein ja-al saazi karkay online nikah kiya. Dulha jab dulhan se milnay aaya to ja-al saazi ke baarey mein ilm huva jis par dulhan ne adalat se rujoo kar ke Khola ka muqadma dair kardiya.

Mutasirah khatoon ne kaha hai ke ja-al saazi ki wajah se usay shadeed nafsiati aziat pohanchi jis ka tadaruk kiya jaye. Adalat mein ja-al saaz ne apne jurm ka aitraaf karte hue fori tor par ek Talaq dedi. Tafseelaat ke mutabiq mutahidda Arab Emirate ki riyasat Sharjah ki adalat mein ek khatoon ne Khola ka muqadma dair karte hue kaha ke is ke shohar ne ja-al saazi ke zariye nikah kiya jo durust nahi. Madeya ne mazeed kaha hai ke ja-al saaz jo ke Arab mulk ka shehri hai ne is se social media par dosti ki aur khud ko Emarati shehri zahir karte hue shadi ki pesh kash kar di.

Khatoon ne kaha hai ke is ne WhatApp par apne Passport ki naqal bhaije taakay nikah ki karwai injaam di jasakay. Nikah honay ke baad jab mazkoorah shakhs Emirate pouncha to sarkari idaray mein shadi ko register karwane ke liye shanakhti dastawizaat talabb ki gayi to maloom huva ke wo Emarati nahi balkay ja-al saazi ke zariye khud ko Emarati shehri zahir kiya tha. Daawa? mein mazeed kaha gaya ke ja-al saaz ne kisi Emarati shakhs ka Passport haasil kar ke is par apni tasweer lagai aur naam o deegar tafseelaat likhnay ke baad WhatApp par arsaal kar diya taakay nikah ki karwai ki jasakay.

Khatoon ne kaha ke ja-al saaz jab Sharjah aaya to maloom huva ke is ne khud ko Emarati shehri zahir karte hue mujh se shadi ki jo wazeh tor par dhoka tha jis se mujhe nafsiati tor par be had sadma pouncha. Adalat mein ja-al saaz ne iqraar kiya ke is ne Passport mein ja-al saazi mehez earzi shadi ke liye ki thi is ka koi aur maqsad nahi tha taham mulzim ne is baat se inkaar kiya ke unki rukhsati hui thi. Adalat ne anokhay muqadmay ki samaat aindah haftay tak ke liye multawi kar di taham mulzim ne Madeyh ke Khola ke mutalbe ko tasleem karte hue usay ek Talaq de di. –YTN STAFF