Trending News

Emarat mein bachoun ko Eidi nahi milegi

By News Desk Roman Urdu

May 21, 2020

Dubai: UAE ki hukoomat ne muqami shehrioun aur muqeem ghair mulkioun se kaha hai ke wo is saal Eid Ul Fitr saada tareeqay se manayeen aur bachoun mein Eidi taqseem nah karen. Tafseelaat ke mutabiq Emirate mein qudrati afaat, Bhranoun aur Emergency halaat ke qaumi idaray ke tarjuman Dr Saif Jummay Al-Zahri ne bayan mein kaha ke walidain, Rishtadaar aur ahbaab bachoun ko Eidi ke tor par naye currency note den aur nah hi online currency note tabdeel karne ki koshish karen. Khandan ke kisi bhi shakhs ko is saal Eidi nah di jaye. Bayan mein mazeed kaha gaya ke ye pabadni bachoun aur ahal khanah ki sahet o salamti ki khatir lagai jarahi hai 

Yaad rahay ke Hindustan, Pakistan aur Bangladesh ki terhan Arab mumalik mein bhi Eid Ul Fitr ke mauqa par Eidi dainay ka rivaaj hai. Mahereen sahet ne  tanbiya ki huvi hai ke currency note aur sekkay mohlik virus ki muntaqili ka sabab ho saktay hain. Isi tanazur mein Emarati hukoomat ne Eidi dainay par pabandi lagai hai. –YTN STAFF