Dubai: Abu Dhabi ke Vali Ahad aur mutahidda Arab Emarat ki musallah afwaj ke Deputy Supreme Commander Sheikh Mohammed bin Zayed Al Nahyan ne Pakistan mein chhotey aur darmiyanay darjay ke karobari idaroun ( SMS ) ki madad ke liye 20 crore Dollar dainay ka elaan kardiya.
Report ke mutabiq Sheikh Mohammad Bin Zayed Al Nahyan ne khalifa fund far Enterprise development ko Pakistan mein SMS ke liye 20 crore Dollar mukhtas karne ki hidaayat ki hai. Report mein kaha gaya ke Abu Dhabi ke Vali Ahad ke is iqdaam ka maqsad mukhtalif mansooboun mein jiddat ki hosla afzai aur Entrepreneurship ki himayat, Mustahkam aur mutawazan maeeshat ki tashkeel ki koshisho mein Pakistani hukoomat ki madad karna hai jis se mulk mein paidaar taraqqi ke husool mein madad mileygi.
Ye iqdaam Pakistan aur mutahidda Arab Emarat ke qareebi taluqaat ko mazeed mazboot aur farogh dainay ke liye dono mumulk ki qayadat ki khwahish ki bhi akkaasi karta hai. Musheer khazana Abdul Hafeez Sheikh Twit karte hue Pakistan ke liye 20 crore Dollar imdaad ke elaan par Sheikh Mohammad Bin Zayed Al Nahyan se izhaar tashakkur kiya.
Unhoun ne kaha ke ye raqam mulk mein chhootey kaarobar ke farogh aur nokriyoun par kharch hogi jabkay is imdaad ka elaan dono mulkoun ke daramiyan mazboot iqtisadi taluqaat ka izhaar hai. Wazeh rahay ke Sheikh Mohammad Bin Zayed Al Nahyan ne jumaraat ko hi Pakistan ka ek roza dora kiya tha. Apne doray mein unhoun ne Wazeer e Azam Imran Khan se dobado mulaqaat ki thi jis mein bahami dilchaspi ke umoor par tabadlah khayaal kiya gaya.
Is hawalay se Vali Ahad ne ek Twit bhi ki aur is mein likha ke wo apne dost Imran Khan se miley aur donoun mumulk ke darmain bahami taluqaat ko badhaane aur mushtarqa ilaqai aur aalmi mamlaat par tabadlah khayaal kiya. Wazeer e Azam Imran Khan ne Abu Dhabi ke Vali Ahad aur UAE ki musallah afwaj ke deputy Supreme commander Sheikh Mohammad Bin Zayed Al Nahyan ke aizaz mein zaherana bhi diya tha. –YTN STAFF