Trending News

Emarat ke khangi Schools mein Fees kam kar di gayi

By News Desk Roman Urdu

August 08, 2020

Abu Dhabi: Abu Dhabi ke khangi Schools nay ziyada se ziyada talba ko apni janib raghib karne ke liye 30 feesad tak Registration Fees aur online taleem ki soorat mein 50% tak fees kam karne ki pesh kash ki hai. Media ke mutabiq Abu Dhabi mein ek School ke principal nay kaha ke naye taleemi saal mein talba ki tadaad kam hai. Khusoosan Nursery mein dakhilay nahi liye jarahay hain. Naye dakhilon ke muqablay mein mukhtalif Schools se talba ke muntakili ke mamlaat badh rahay hain. Bohat saaray talba ke walidain Nursery mein bachon ko daakhil karwanay se khaufzadah hain.

Ek aur rujhan ye samnay aaraha hai ke walidain apne baday bachon ko aisay Schools mein dakhila dilanay ki koshish mein lag gaye hain jahan fees kam hon. Khangi Schools ny dakhila lainay walay talba ke liye social media par mukhtalif targibati packages ki tashheer shuru ki hai. Sarparaston se kaha ja raha hai ke agar School mein bhai aur rishta daar dakhila len ge to inhen khusoosi riayat di jaye gi. Registration fees maaf kar di jaye gi. Taleemi fees mein riayat di jaye gi aur taleem mukammal online honay ki soorat mein mazeed raaytin pesh ki jayen gi.

Abu Dhabi aur Alain ke Schools ne jo Abu Dhabi ki wizarat taleem, America, Bartania aur Hindostan ke Course padha rahay hain ishtihar day kar talba ke rishta daaron se kaha hai ke wo jald az jald bachon ki Registration karayen aur 30 taa 50% tak taleemi fees mein riayat haasil karen. Un Schools ne transport fees mein 25 feesad tak kami ki baat bhi kahi hai. Schools ke ishtiharaat mein ye bhi kaha ja raha hai ke hamaray yahan asatezha aisay hon ge jin ki maadri zabaan angrezi hogi.

Abu Dhabi mein British Course padhanay walay ek mashhoor school ney taleemi fees mein 50% riayat ka wada kiya hai. Ye riayat school ki khaas markaz ke talba ke liye hogi. Ek aur school ney naye talba ke liye fees mein 20 feesad kami ki baat kahi hai jabkay school mein ek se ziyada bhaieyon ke dakhilay par 15 feesad mazeed riayat ka wada kiya gaya hai.