India

Election Commission ne Modi ki Biopic film ki release par lagai rok

By News Desk Roman Urdu

April 10, 2019

New Delhi : Wazeer-e-aazam Narendra  Modi ki biopic film’ ‘ PM Narendra  Modi ‘ ‘ ko leker Election Commission ne ek bada faisla liya hai. Election Commission ne lok sabha intikhabaat tak wazeer-e-aazam Narendra  Modi ki Biopic film’ ‘ PM Narendra  moodi’ ‘ ki release par rok lagadi hai .

Election Commission ne kaha hai ke  jab tak Lok Sabha intikhabaat khatam nahi ho jatay, tab tak is film par rok lagi rahay gi. is se pehlay Supreme court ne Narendra Modi ki mazkoorah Biopic ki release par rok laganay ki maang karne wali darkhwast ko mangal ko kharij kar diya tha .

Is ke baad film’ ‘ PM Narendra  Modi’  ki team ne mangal ko Supreme court ki janib se film ki release par rok laganay ki maang karne wali darkhwast ko kharij kiye jany par adliya ka shukriya ada kiya tha .

Adalat ne kaha ke darkhwast guzar ki fikar ka hal nikaalte ka ahem idaara Election Commission hai. Election Commission ko hi yeh taye karna chahiye ke lok sabha intikhabaat ke paish e nazar film ki release intikhabaat ke douran kisi khaas siyasi jamaat ko faida ya is ke liye awaami jhukao to paeda nahi karti.? film mein PM Narendra  Modi ka kirdaar nibha rahay adakar Vivek Oberoi ne Supreme court ke rukh ki sarahana ki .

Is se pehlay bhi khabar thi ke Election Commission ki janib se wazeer-e-aazam Narendra  Modi ki zindagi par bani Biopic film ki release ko rokay jany ka imkaan nahi hai. Congress sameit deegar oppostion partiyon ka daawa tha ke yeh film intikhabaat mein BJP ko faida pahunchayegi lehaza intikhabaat khatam honay tak iski release ko roka jana chahiye . –YTN STAFF