Mumbai: Wazeer-e-Azam Narendra Modi zabita-e-ikhlaq ki musalsal khilaaf varziyan kar rahay hain is zimn mein Election Commission ney inhen notice bhi jari kiya hai lekin ab tak unke khilaaf koi karwai nahi ki mulk ki awam Election Commission jaisay ghair janabdaar idaara se yeh janna chahti hai ke aakhir is muamlay mein Election Commission khamosh kyun hai. kiya Wazeer e Azam is qanoon ke zad mein nahi atay hain un khayalat ka izhaar Rashtrawadi congress party ke rukan-e-parliment advocate Majeed memon ney Mumbai mein media se khitaab karte hue kiya .
Unhon ney kaha ke Wazeer e Azam Narendra Modi Gujrat mein vote daalnay ke baad ek money road show kiya tha jo kay zabita e ikhlaq ke khalaaf tha neez Modi aur BJP sadar Amit Shah awam se unka pehla vote pulwamah, Balakot ke shaheedon ke naam par talabb kar rahay hain jab ke Election Commission ney is zimn mein rehnumaiyana usool muratab kiye hain aur aisay mamlaat mein siyasi partiyon ko intibah dete hue vote talabb karne ke liye mana kiya hai lekin is ke bawajood bhi Wazeer e Azam khulay aam shaheed foujiyoun ke naam par vote maang rahay hain aur Election Commission ek khamosh tamashaayi bana hua hai .
Majeed memon ney kaha ke mulk mein intikhabaat chand dinon mein apne aakhri ayaam ko pohanch jayenge is douran Election Commission mein Modi ke khilaaf shikayat bhi darj karwai gayi lekin Election Commission ka yeh kehna ke Wazeer e Azam ke khilaaf shikayat ki file aur online shikayat ki naqool mil nahi pa rahi hai neez election commission ke is rawayya se aisa lag raha hai ke woh BJP aur Wazeer e Azam ke tain janbadaranh rawayya ikhtiyar kiye hue hai .- YTN STAFF