Slider

Ek mah tak Saudi arab se 30 laakh barrel youmiya tel ki sarbarahi mutasir hone ka khadsha

By News Desk Roman Urdu

September 18, 2019

Riyadh : Tawanai ke adad wo shumaar batanay walay idaray S&P plates ke mutabiq Saudi arab mein tel ki tansibat par hamlay ki wajah se 30 laakh barrel youmiya tel ki farahmi band hogayi hai. S&P global plates ne kaha hai ke moujooda sorat-e haal mein Saudi arab se 30 laakh barrel youmiya tel ki farahmi ek mah tak mutasir rahegi.

khayaal rahay ke Saudi farmaa rava Salman bin Abdul aziz ki zair-e-sadarat kabeena ijlaas ke baad duniya ko khabardaar kiya gaya tha ke tansibat par hamlay ke baad duniya ko tel ki sarbarahi mutasir honay ka khadsha paeda hogaya.

kabeena ne apne bayan mein kaha ke hareefoun ki janib se jarehana hikmat-e-amli ka maqsad aalmi tawanai ki farahmi ko mutasir karna tha. Saudi press agency ke mutabiq kabeena ne kaha hai ke hum aalmi baradri par zor dete hain ke woh un jarehana karwaiyon ki rok thaam ke liye sakht iqdamaat kare. Saudi arab ki aala qayadat ne kaha hai ke qata nazar is ke kon un hamlon mein mulawis tha, hum radd-e-amal dainay ki salahiyat rakhtay hain taham hum ne kisi ka naam nahi liya.

Saudi arab ne apne ibtidayi bayanaat mein ilzaam aaed kiya tha ke yeh hamlay Iran ki janib se kiye gaye they. Saudi arab 99 laakh barrel youmiya tel nikalta hai jis mein se woh 70 laakh barrel youmiya bar-aamad karte hain aur un mein daraamad kanandah ziyada tar asiayi mumalik hain.

S&P ke mutabiq Saudi arab mumkina tor par kahega ke woh duniya ko blatantly tel ki farahmi jari rakhayga taham yeh unke liye mushkil ho sakta hai. kisi bhi takheer ke isharay mein aindah hafton ya mahino ke douran aalmi manndi mein tel ki qeematon mein izafah hojayega. taweel arsay tak Saudi arab ke tel ki bandish ka khatrah is baat ka ishara deta hai ke Riyadh ke paas market mein tel ki farahmi ke liye apne paas mazeed paedawar ki salahiyat nahi hai.

Reports mein kaha gaya ke aindah haftay ke aaghaz mein Saudi arab apni ta-attul ka shikaar honay wali paedawar ka 40 feesad bahaal kardeyga taham mahireen se raye se ikhtilaaf karte hue kehte hain ke dobarah pehlay jaisay sorat-e-haal mein kitna waqt lageyga iska kuch nahi kaha jasakta.

khayaal rahay ke 14 September ko Saudi arab mein hukoomat ke zair-e-intizam chalne wali duniya ki sab se badi tel company Aramco ke 2 plants abaqiq aur kharees par drone hamlay kiye gaye hain. drone hamlon se tel ki tansibat mein aag bhadak uthi thi taham Saudi press agency ne Saudi wizarat dakhla ke zaraye ka hawala dete hue kaha ke abaqiq aur kharees mein lagnay wali aag par qaboo pa liya gaya hai. mazkoorah plants mein atishzadgi ki wajah se khadsha zahir kiya ja raha tha ke duniya bhar mein tel ki supply mutasir hosakti hai jabkay talabb aur rasad mein farq ki wajah se tel ki qeematon mein izafah bhi ho sakta hai.

Chand dinon mein hi Amrici west Texas intermediate ( WTI ) ne bataya ke khaam tel ki qeemat mein 15.5 feesad tak izafah dekhnay mein aaya hai jo 22 June 1998 ke baad ek din mein honay wala sab se bada izafah hai.

 

Saudi arab mein tel ki tansibat par drone hamlon aur tel ki paedawar mein kami ki wajah se aalmi mandi mein khaam tel ki qeematon mein 19.5 feesad tak record izafah hogaya. –YTN STAFF