Trending News

Eid Ul-Adha ki 7 roza tatelaat ka elaan

By News Desk Roman Urdu

June 25, 2020

Riyadh: Saudi Monetary Authority ( SAMA ) ke mutabiq bankon aur tarseelat zar ke marakaz mein Eid Ul-Adha ki tatilat saat roza hon gi. Mangal 28 July kaam ka aakhri din ho ga jabkay 29 July 8 Zel Hejja se Eid Ul-Adha ki tatilat ka aaghaz hoga.

Saudi Monetary Authority mumlikat mein kaam karne walay tamam banks aur tarseelat zar ke mamlaat ka nigran idaara hai jisay Saudi kabeena ne banking ke umoor ke jumla ikhtiyarat diye hain. Bayan ke mutabiq mumlikat mein Eid Ul-Adha ki tatilat ka aaghaz 29 July se hoga jabkay 5 August se mamlaat hasb sabiq shuru karde jaenge.

Sama ki janib se mazeed kaha gaya hai ke Eid Ul-Adha ki tatilat ke douran tarseelat zar ke wo marakaz jahan logoun ki amad-o-raft ziyada hoti hai bhi khusoosi tor par khole jayen ge. Saudi Monetary Authority ne un marakaz ki intizamia ko hidayat ki hai ke wo apne un marakaz ke baarey mein tafseelaat faraham karen jo Eid Ul-Adha ki tatilat ke douran khulay rakhna chahtay hain. Authority ki janib se mazeed kaha gaya hai ke bankon aur tarseelat zar ke marakaz mein muqarara SO Peace par amal daraamad kiya jaye taakay corona ki waba se mehfooz raha ja sakay.