India

EIA Notification Karnataka HC ki hidayat ka kher muqaddam

By News Desk Roman Urdu

August 10, 2020

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi general secretary KH Abdul Majeed ne Karnataka High Court ki is hidayat jis mein court ne markazi hukoomat ko kaha hai ke wo 7 Setember tak EIA daraft Notification shaya nah kere is ka kher muqaddam kiya hai. Abdul Majeed ne kaha hai ke wizarat maholiyaat ne Covid-19 wabai marz se mutaliq mukammal lockdown ke mauqa par musevida shaya kiya thajs ne Notification par awam ko apni raye dena amli tor par namumkin banadiya tha . Maholiyati asraat ki tashkiz ( EIA ) ek mujawaza mansoobay ya taraqqi ke maholiyati asraat ke imkanaat ka jaiza lainay ka amal hai. Jis mein samaji muashi, Saqafati aur insani sahet par asraat ka misbet aur manfi pehloun ko mad-e-nazar rakha jata hai.

Maholiyati tahaffuz Act 1986 ke tehat Hindostan nay 1994 mein apne pehlay EIA usoolon ko notify kiya taakay qudrati wasail tak rasai, Istemaal aur asr andaaz ( Aloodgi ) karne wali sar garmion ko munazzam kiya jasakay. Is ke baad se hi maholiyati manzoori haasil karne ke liye har taraqiyati mansoobay ko EIA ke amal se guzarna padta hai. 1994 ke EIA Notification ko 2006 mein ek tarmeem shuda musevida ke sath tabdeel kiya gaya tha. Is saal ke shuru mein hukoomat nay2006 se jari kardah tarameem aur mutaliqa adalti ehkamaat ko shaamil karne aur EIA ke amal ko ziyaad shafaaf aur sahal bananay ke liye usay dobarah daraft kiya gaya tha.

EIA ki sab se numaya khasusiyat ye thi ke awam EIA ke amal mein hissa len aur EIA mein awam ki shirkat ko yakeeni bananay ke liye kaafi waqt faraham kiya gaya tha. Lekin EIA Notification 2020 mein EIA ke ahem usoolon ko nai shakal day kar Corporates ki himayat ki gayi hai aur aisay mansoobay jis mein EIA ki manzoori ki zaroorat hai un par shehrion ko aiterazaat uthany ka mauqa dainay se inkaar kiya gaya hai. Delhi Court ne June mein hukoomat ko mutaliqen ki taraf se tajaweez daakhil karne ki muddat 11 August tak badhaane ka hukum diya tha. Jis ke baad hukoomat ne tajaweez bhejnay ki aakhri tareekh 30 June kar di thi. Ab Karnataka High Court ne mazeed 7 September tak towsee karne ki hidayat ki hai. Taakay mutaliqen EIA Notification 2020 par apni raye day saken. Adalat ne mazkoorah maswade ko sirf angrezi aur Hindi mein shaya karne par wizarat ko tanqeed ka nishana banaya hai. Delhi High Court ne EIA Notification 2020 ke maswade par tajaweez dainay ke liye 11 August tak towsee kar di hai.

Karnataka hukoomat ney markaz ko hidayat di hai ke wo musevida Notification 7 September tak shaya nah kere. Adalat ney nishandahi ki hai ke coronavirus ke bohraan ki wajah se logoun ko apne eterazat darj karne ke liye munasib waqt nahi diya gaya tha. SDPI qaumi General Secretary KH Abdul Majeed ney ekhtataam mein kaha hai ke mulk ke maholiyati nizaam ko barbaad karne walay ek ahem maslay mein adalat ka mudakhilat qabil tehseen hai aur qabil tareef baat ye hai ke adliya ney markazi hukoomat ke samnay mukammal tor par hathyaar nahi daaley hain.