Ajaayeb wo Garaayeb

Duniya ki sab se mehngi Chocolate, jis ki qeemat hai 6 lakh rupees

By News Desk Roman Urdu

March 30, 2019

Portugal : Ek chocolate banane wali company ne duniya ke samnay sab se mehngi chocolate paish ki hai. waisay to aap jantay hi hain ke chocolate ki qeemat kitni hoti hai. aajkal aisi aisi chocolate aa rahi hai, jinki qeemat hazaron mein ja rahi hai. lekin jis chocolate ki hum baat kar rahay hain uskee qeemat 6 lakh rupiyon se ziyada hai. sunkar haerani horahee hogi. lekin yeh sach hai. chalye is ke baare mein aap ko bata te hain .

Darasal Portugal mein duniya ki sab se mehngi chocolate banai gayi hai. is chocolate ka naam Glorius rakha gaya hai. international chocolate festival ke douran Portugal ke obidos shehar mein logon ko duniya ki sab se mehngi chocolate ko dekhnay ka mauqa mila. reports ki manen to yeh 23 Carett gold Plated chocolate hai. is ki qeemat 6lakh 20 hazaar rupees hai .

Aap ko bata den ke is chocolate ki qeemat ziyada rakhnay ki do wujuhaat hain. pehli Wajah to yeh hai ke yeh chocolate 23 Carett gold plated hai aur doosri Wajah yeh Banban ki 1000 limited edition ka hissa hai. to agar kisi ko yeh chocolate khana hai to itni qeemat deinee padegi .- YTN STAFF