Telangana ke aabi bohraan ke khtama ka imkaan
Hyderabad: Chief Minister K Chandrashekhar Rao ney Kaleshwaram project ka iftitah kardiya hai. Kaleshwaram lift aab paashi project ki tameer duniya ki sab se badi hama marhala jati hama maqsadi lift aab paashi scheme hai. Kaleshwaram hama maqsadi lift aab paashi project hai jis ke zariya dareaye Godavri ka pani dhaan ke khaiton se guzray ga aur riyasat ke kisanon ko aab paashi ki sahoolat faraham ki jaye gi. Yeh aab paashi project ab Telangana ke peenay ki aab paashi ki aur sanati aabi zaroriat ko poora kere ga. Yeh project riyasat ke zayed 20 aj feesad azlaa par muheet 45 lakh acare araazi ko pani sarbarah kere ga. Yeh aik munfarid hukoomat ki tareekhi kamiyabi hai.
Is project ke zareya Mulk ki aab paashi ki tareekh ke ourak par aik naya baab ka izafah huwa hai kyunkay zayed 139 Aj MW ki gunjaish ke haamil pumps se istifada kiya gaya hai jisay duniya ke kisi bhi maqam par kabhi bhi istemaal nahi kya gaya. Is project ki duniya ki sab se taweel tanal ki 203 kilomitar ki haamil rote hai, Kaleshwaram duniya ka aisa wahid project hai jo rozana 2 TMC pani sarbarah karsaktha hai aur aindah saal se 3 TMC pani ki sarbarahi ke liye koshishen jari hain. Duniya ka yeh aisa wahid project hai jo 45 lakh acre zarayi araazi senkron san-aton ki aabi zaroriat aur hazaron dihaton ki peenay ke pani ki zaroriat ko poora karta hai. Sath hi pehli martaba dareaye Godavri se marhala waar andaaz mein 92 meter oonchai se pani haasil kiya gaya hai taakay usay 618 meter oonchai par le jatay huwe zarayi araazi ko sarbarah kiya jasakay.
Is project ki iftitahi taqreeb mein dono Telangana riyaston Telangana aur Andhra Pradesh ke Governor ESL Narasimhan padosi reyaston Andhra Pradesh aur Maharashtra ke Cheif Minister YS JAgan Mohan Reddy Devendra Fadnavis bhi mojood they. Jayshankar Bhupalpally zila mein duniya ke is sab se baday lift irrigation project ka iftitah huwa. 80,500 crore rupay ke masarif se is project ki taamer ki gayi jis se riyasat ke 70 feesad aab paashi ki zaroriat ki takmeel hosakti hai.
Is project ki khususiyaat mein aik ahem khasusiyat yeh bhi hai ke dono judwan shehron Hyderabad aur Secundrabad ke peenay ke pani ki zaroriat ki bhi takmeel hosakay gi. Hukoomat ney 3 saal ke arsa ke douran is project ko mukammal kiya. Jaissa ke KCR ney 2016 is project ka sang buniyaad rakha tha. Unhon ne project ke har marhala ki khud nigrani ki. Governor aur tenu Chief Minister ney iftitahi taqreeb ke baad project ki numaya khususiyaat zahir karne walay video presentation ka bhi mushahida kya. Is project ke iftitah ke baad Telangana ke awam ka kayi dahaiyo ka intzaar khatam hogaya hai. Is mauqa par KCR ney ahem shakhsiyation ko midi Guda bridge ke atraaf le gaye aur tasweerai numayesh ke douran Kaleshwaram Project ki numaya khususiyaat ki tafseelaat se waaqif kar aaya. Maharashtra ke Cheif wahan se jald chalay gaye jabkay deegar shakhsiyation ney Kanepalli pump haoz ka bhi muaina kya.
Governor Narasimhan ney is pump haoz ka iftitah kya. Jagan Mohan Reddy ki mojoodgi mein Chandrashekhar Rao ney pump haoz ke iftitah ki takhti ki naqaab kushai injaam di. Qabal azeen Jagan Mohan Reddy Vijayawada se khusoosi helicopter ke zareya programme ke mutabiq Mudiguda puhanche jin ka istaqbaal Telangana ke wazeer v Prashant Reddy ney kya. Maharashtra ke Cheif Minister Devendra Fadnavis Begumpet Airport puhanche jahan unn ka Wazraa Indrakaran Reddy V Chief Secretary SK Joshi aur deegar ohdedaron ney istaqbaal kiya. Baad azan Governor aur deegar ahem shakhsiyation ke sath Medugudamidi Guddu Barrage ke liye rawana huwe.