Slider

Dubai nay Israel Boycott ko khatam kardiya

By News Desk Roman Urdu

August 29, 2020

Dubai: Mutahidda Arab Emirate ne ek hukum nama jari kiya jis mein dono mumalik ke mabain taluqaat ko mamool par laane ke liye Israel ka Boycott baqaida tor par khatam kiya jaye ga. Is elaan se ab Mutahidda Arab Emirate, Tail se malaa maal Abu Dhabi aur falak bose imarat se lais Dubai aur Israel ke mabain tijarat ki rahein hamwar hon gi jis mein heeron ki farogh pazeer tijarat, Dawasaas Company aur Tech Starts up shaamil hain.

Is elaan ny 13 August ko dono mumalik ke mabain safarti taluqaat ko hamwar karne ke muahiday ko mazeed mustahkam kiya gaya hai, Jis ke tehat Israel ko Palestine ke zareya haasil ki janay wali maghribi kinare ki zameen ko ilhaaq karne ke apne mutanazia mansoobay ko rokna tha. Sarkari khabar-rasan Agency WAM ny kaha ke boycott ka bazabta khtama karne ka yeh farmaan Abu Dhabi ke hukmaran aur Emirate ke rehnuma Leader Sheikh Khalifa bin Zayed Al Nahyan ke hokum par aaya hai.Is naye farmaan ke tehat Israelis aur Israeli companiyon ko Mutahidda Arab Emirate mein tejaarat karne ki ijazat di gayi hai. Is ke zareya Israeli samaan ki kharidari aur tijarat ki bhi ijazat hai.

Naye qanoon ka yeh farmaan Mutahidda Arab Emarat ki Israel ke sath safarti aur tijarti taawun ko badhaane ki koshisho ke tehat hi aaya hai. Is mein mushtarqa taawun ka aaghaz karne ke liye ek Road map teyar kiya gaya hai, Jis se iqtisadi taraqqi ko farogh dainay aur takneeki jiddat tarazi ko farogh day kar do tarfha taluqaat ka aaghaz hoga. Pehlay hi kuch Israeli farmon ney Emarati hum munsibon ke sath muahiday kiye they lekin is qanoon ki mansookhi se dosray mushtarqa mansoobon, Jaisay hawabazi ya Banking aur maalyaat ke imkanaat badh gaye hain.

Emarati farman bhi Israeli takneeki takmeel taq rasai haasil karna chahti hain. Paiir ke roz Abo Dhabi mein Israel ke parcham bardar carrier El Al ki pehli barah-e-raast tijarti parwaaz mutawaqqa hai, Jis mein Americi aur Israeli ohdedaron sameit sadar Donald Trump ke damaad Jared Kishner bhi safar karen ge. Is ke ilawa dono mumalik ke darmain pehlay hi Telephone raabtey bhi bahaal kiye ja chukay hain.