Dubai: Dubai mehakma sayahat ke Director General Helal Saeed Al Marri ne kaha hai ke July mein sayaho ke liye Dubai ke darwazay khol diye jayenge. Tafseelaat ke mutabiq Al Marri ne kaha ke ghalib gumaan ye hai ke sayaho ke liye Dubai ke darwazay tadreeji tor par khole jayenge. Unhoun ne kaha ke agar sorat e haal garbar huvi to sayahat ki bahaali July ke bajaye September tak bhi multawi ki ja sakti hai. Hatmi faisla aalmi halaat ko dekh kar kiya jayega.
Dubai mein qudrati afaat aur bohranoun ke nigaran High Commission ne 24 April se Dubai mein aamad waraft mein narmi ka faisla karliya hai. Dubai mehakma sayahat ne 2019 mein 5.1 feesad sharah numoo ka Record banaya tha. 16.73 Million aalmi sayah 2019 mein Dubai aaye. Al Marri ne mazeed kaha ke mutadid mumalik mein abhi tak mukammal Lockdown chal raha hai. Muashi aur samaji sar garmioun ki bahaali ki tarikhoun par behas mobahisa chal raha hai. –YTN STAFF