Slider

Dubai mein Aqamah ab sirf 40 minute mein dastiyab, karwai ke liye App muta-arif

By News Desk Roman Urdu

December 12, 2019

Dubai : Dubai smart city ney ek qadam aur agay badha diya hai, ab Aqamah banwane ke liye 40 minute se ziyada ka waqt nahi lagta. yeh kaam Dubai all on ( Dubai app ) application ke zariye kiya ja raha hai.

UAE ki al bayan online ke mutabiq Dubai intizamia ney bataya Dubai mein Aqamah aur tarikeen watan ke idaray ke taawun wo ishtiraaq se online aqama ka ajra shuru kardiya gaya. tarikeen smart mobile ke zariye sarkari idaron se apne mamlaat nipataney lagey hain. online aqama ke ijra ki manzoori mein 30 minute aur ijra mein 10 minute lag rahay hain.

Dubai mein tarikeen aur Aqamah idaray ke director general major general Mohammad Ahmed ney kaha ke aqama ka ijra, towsee aur tarmeem neez naqal kafala ( transfer sponsership ) sameit tamam kaam online anjaam day rahay hain.

Aqamah ki mansookhi bhi smart channels ke zariye ki jarahi hai. major general Mohammad Ahmed ke mutabiq Dubai application par idaray ki tamam khidmaat muhayya hain. ye kaam Dubai al zakiya ( Dubai smart ) ke taawun se kiya jaraha hai. Application ki madad se ye bhi pata lagaliya jata hai ke visa mo-asar hai ya nahin.

Tarikeen watan apne bachoun, walidain aur biwi ke aqamay ki tajdeed isi application ki madad se kar saktay hain. Dubai al zakiya ( Dubai smart ) ki director general Dr Ayesha Bint bati bin bashar ney bataya Dubai all on application paper free hikmat-e-amli se hum aahang hai. Dubai hukoomat tamam sarkari umoor online anjaam denay ki policy par nafiz kiye hue hai. nai application ki badolat muashray ke badey hissay ko faida aur raahat mileygi. –YTN STAFF