Dubai: Duniya mein koi kaam sab se bada hai to wo insani hamdardi aur insaaniyat dost iqdamaat hain jis se kisi ko khoshi muyassar ho aur jab koi bacha kisi mohlik bemari mein mubtala hu aur waqt ka badshah is ki koi khwahish poori kere to badshah ki ye insaaniyat dost qadam tareekh mein hamesha yaad rakha jata hai aur aisi hi ek misaal Dubai ke Wali Ahad ne Cancer mein mubtala hindustani bacha ke sath ki hai. Dubai ke Wali Ahad Sheikh Hamdan Bin Mohammad Bin Rashid Al Maktom ne Cancer ke mareez Hindustani bachay Mohammad Abdullah ki khwahish poori kar di. Mohammad Abdullah ne Wali Ahad Dubai se milnay ki khwahish zahir ki thi.
Emarat Al Youm ke mutabiq 7 sala Hindustani bachay ne kaha hai ke wo Wali Ahad Dubai ko misali shakhsiyat samjhta hai. Is ka khawab hai ke wo ghud daud mein Wali Ahad Dubai jaissa ban jaye. Mohammad Abdullah ne Emarat se guftagu mein kaha ke Hamdan bin Mohammed Al Maktoum ka bohat bada madda hon. Wo jahan jis khail mein bhi hissa letay hain usay zaroor daikhta hon. Khaas tor par ghud daud ka aisa koi muqaabla nahi chhodta jis mein wo shirkat karte hon.
Hindustani bachay ne kaha ke sab se bada khawab ye hai ke wo Hamdan bin Mohammed Al Maktoum ki terhan ghud daud ka Star ban jaye. Yaad rahay ke Mohammad ne Abdullah ne Sheikh Hamdan ke naam Hindustan se pegham bheja tha jahan wo cancer ka ilaaj kara raha hai aur wo Cancer ke teesray marhalay mein hai. Bachay ke waalid Abdullah Hussain ne kaha ke 2 mah qabal hi is ke betay ke Cancer mein mubtala honay ka pata chala. Doctors ne bataya ke wo teesray marhalay mein hai.
Abdullah Hussain ke bamujab mera beta teesri classes ka taalib ilm hai. Wo hamesha ye khawab daikhta rehta hai ke kis terhan ghud daud ka aalmi Star ban jaye. Wo mustaqbil mein bohat saaray ghodoun ka malik bhi ban-na chahta hai.
Sheikh Hamdan ne khat melitay hi mulaqat ka mauqa day kar hum sab ko herat zada kardiya. Mulaqaat ke mauqa par Wali Ahad ne hamari har baat nihayat ghhod se suni. Unhoun ne khandan ke har fard se baat ki aur kisi ek ko bhi ye ehsas nahi honay diya ke wo un se kisi bhi terhan kisi aur ke muqablay mein kam qareeb hain. –YTN STAFF