Hyderabad

Dubai Airport se Hyderabad ki haamla khatoon ko bachaya

By News Desk Roman Urdu

July 29, 2020

Hyderabad: Samaji jehadkaron neh ek haamla khatoon ko Dubai Airport se bajaya jaha wo takreeban ek hafta tak faqa kashi ka shikaar thi. Ye khatoon kal shab Hyderabad pohanchi. Purana shehar Hyderabad se talluq rakhnay wali 31 sala Hajera Begum jaria saal 12 Feb ko Hyderabad se Khadima ke Visa par Agent ke zareya Dubai pohanchi. House Maid Agency neh is khatoon ko Alain ilaqa mein mulazimat ki peshkash ki thi. March ke pehlay hafta mein Hajera ka tibbi muaina kiya gaya thake is ke Visa ko mulazimat ke Visa se tabdeel kiya jaske taham is muaina ke douran pata chala ke wo haamila hai.

Wahan ke qawaid ke lehaaz se wo mulazimat ka Visa haasil nahi kar sakti thi kyunkay wo haamila thi. Isi liye Agency ney un ko Hindustan wapas bhejnay ka faisla kiya. March mein lockdown nafiz hogaya isi liye wo Dubai mein phas gayi kyunkay tamam bain-ul-aqwami parwazein ruk gayi theen. Agency ney un ko Fly Dubai Airlines ka ticket faraham kiya tha taakay wo Dubai se Hyderabad aa saken. Is Agency ney un ko Dubai Airport ke terminal par 14 July ko choda tha taham wo Flight ke ghair mutawaqqa toor par mansookh honay par wahein phas gayeen. Isi terhan ke masail ki shikaar ek aur khatoon jis ki shanakht AP ke Thadepalligudem ki rehne wali Sujatha ke tour par ki gayi hai, Dubai Airport par hi thi. Ye dono taqreeban ek hafta tak Airport par hi faqa kashi ka shikaar they. Doosri Flight ke liye anay walay musafireen ne un ko na munasib haalat mein dekh kar baaz khanay peenay ki ashya aur raqam di thi.

Un ke baray mein maloom honay par Frinds Of India ke Volunteers Surathani Malla Reddy ney un ko Airport se Dubai mein hindustani consul khanah pohanchaya. Un dono ney wahan apni haalat batayi jis ke baad ohdedaroun ney Hajera Begum ke liye ticket ka intizam kiya. Jain Seva Mission’ ke tarjuman Ropesh Mehta ney Sujatha ke liye ticket ka intizam kiya jabkay samaji jahedkar Uma Shankari ney Consulate ke sath taawun kiya. Un ke liye Free Tickets milnay ke baad ek aur samaji jahedkar Sharda jin ka talluq Nizamabad zila ke Kilipaka gaon se hai, Un dono ko apne gharmin jagah di. Agarchay ke Sharda chhootey se makaan mein rehti hai taham is ne ye saabit kardiya ke bairooni mulk mein pareshan haal khawateen ke liye is ka dil bada hai. Hajera Begum jo 7 mah ki haamila hai ke sath kaafi pyar-o-mohabbat ka sulooq kiya gaya aur un ke liye khudbarahi ki rasam ada ki gayi.