New Delhi: Missile Man sabiq sadar Dr. A.P.J Abdul Kalam ko un ke yom-e-paidaiesh ke mauqa par naib sadar M. Venkaiah Naidu ne kharaaj aqeedat pesh kiya. Naidu ne jumaraat ko ek Tweet mein kaha ke woh saadgi aur ilm ke alamat thay. Unhoun ne Hindustan ke difai nizaam ko mazboot karne aur khalayi salahiyat ke farogh mein besh qeemti taawun diya.
Naidu ne Dr Kalam ke mashhoor muharrak bayan agar sooraj ki terhan chamkana chahtay hain to pehlay sooraj ki terhan tapna sikho ka hawala dete hue kaha mulk ke sabiq sadar qoum ke roshan khayaal mufakkir, Nojawanon ke liye baais targheeb aur naamwar science daan Dr A.P.J Abdul Kalam jee ki yom-e-paidaiesh par mein salam pesh karta hon.
Yaad rahay ke Abdul Kalam ka poora naam Avul Pakir Jainulabdeen Abdul KalamĀ hai aur woh Hindustan ke sabiq sadar aur maroof johri science daan reh chuke hain. Woh 15 October 1931 ku Hindustan ki janoobi riyasat Tamil Nado mein peda hue aur 27 July 2015 ku dil ka dora padney se un ka intqaal huwa. Abdul kalam Hindustan ke gayarhavi sadar thay, Inhen mulk ke aala tareen shehri ezazat Padam Bhushan, aur Bharat Ratan se bhi nawaza gaya. Abdul Kalam ki sadarat ka daur 25 July 2007 ku ekhtataam pazeer huwa.
Dr Abdul kalam ka talluq Tamil Nado ke ek mutwast khandan se tha. Un ke waalid mahi geeron ko apni kashti karaye par diya karte thay. Un ke waalid taleem Yafta nahi thay lekin Abdul Kalam ki zindagi par un ke waalid ke gehray asraat rahay. Un ke diye hue amli zindagi ke sabaq Abdul Kalam ke bohat kaam aaye. Gurbat ka yeh aalam tha ke ibtidayi taleem ke douran bhi Abdul Kalam apne ilaqay mein akhbar taqseem kiya karte thay. Unhoun ne Madras Institute of Technology se khalayi science mein Graduation ki taleem mukammal ki aur is ke baad is craft mansoobay par kam karne walay difai tehqiqati idaray mein shamoliat ikhtiyar ki jahan Hindustan ke pehlay satellite tayyaray par kam ho raha tha. Is sayarcha ki launching mein Dr Abdul Kalam ki khidmaat sunehri huroof se likhnay ke qabil hain. Is ke ilawa project director ke tor par unhoun ne pehlay satellite jahaaz ki launching mein bhi ahem kirdaar ada kiya.